hanso hansao
jam.a ho kar kahīñ do chaar bachche
magan the khel meñ hañste hañsāte
unhī meñ ek bachcha hañs ke bolā
mirī naanī sunātī thiiñ latīfa
mire daadā ne banvāyā thā dālān
hazāroñ baiTh sakte jis meñ insān
ye sun kar dūsrā bachcha bhī bolā
baḌe andāz se ik raaz kholā
mire daadā ke paas aisī kamāñ thī
ki tiir us kā kare sair āsmāñ kī
kahā bachchoñ ne tum gap mārte ho
miyāñ tum bhī kahāñ kī hāñkte ho
kahāñ rakhte the daadā us kamāñ ko
ki jis se tiir chhū le āsmāñ ko
javāb us ne diyā sun kar suno to
nahīñ gap hai haqīqat mere yaaro
jo dālān is ke daadā ne banāyā
kamāñ rakhte the us meñ mere daadā
jama ho kar kahin do chaar bachche
magan the khel mein hanste hansate
unhi mein ek bachcha hans ke bola
meri nani sunati thin latifa
mere dada ne banwaya tha dalan
hazaron baiTh sakte jis mein insan
ye sun kar dusra bachcha bhi bola
baDe andaz se ek raaz khola
mere dada ke pas aisi kaman thi
ki tir us ka kare sair aasman ki
kaha bachchon ne tum gap marte ho
miyan tum bhi kahan ki hankte ho
kahan rakhte the dada us kaman ko
ki jis se tir chhu le aasman ko
jawab us ne diya sun kar suno to
nahin gap hai haqiqat mere yaro
jo dalan is ke dada ne banaya
kaman rakhte the us mein mere dada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.