hansti hui laDki
hañstī huī laḌkī
ek aañsū meñ rahtī hai
is ek aañsū meñ
jab vo chhup ga.ī thī
to use kisī ne nahīñ DhūñDā
aur is ek aañsū meñ
jab vo ghar ga.ī thī
to kisī ko nahīñ mil sakī
isī aañsū meñ se
haath baḌhā ke
us ne phuul toḌe the
aur isī aañsū meñ se us ne
vo kitāb paḌhī thī
jis meñ āñsuoñ se
toḌe hue phuul nahīñ rakhe jā sakte
hañstī huī laḌkī
bārish meñ
is ek aañsū se
bāhar nahīñ jā saktī
vo chaltī hai
aur hamesha thak ke baiTh jaatī hai
apne kāḌhe hue rumāl par
vo suntī hai apnī kahī huī kahānī
aur har baar rone lagtī hai
hañstī huī laḌkī
apnī hathelī pe
āñsuoñ se
ek qil.a banā letī hai
aur ek aañsū se
ziyāda nahīñ rotī
hansti hui laDki
ek aansu mein rahti hai
is ek aansu mein
jab wo chhup gai thi
to use kisi ne nahin DhunDa
aur is ek aansu mein
jab wo ghar gai thi
to kisi ko nahin mil saki
isi aansu mein se
hath baDha ke
us ne phul toDe the
aur isi aansu mein se us ne
wo kitab paDhi thi
jis mein aansuon se
toDe hue phul nahin rakhe ja sakte
hansti hui laDki
barish mein
is ek aansu se
bahar nahin ja sakti
wo chalti hai
aur hamesha thak ke baiTh jati hai
apne kaDhe hue rumal par
wo sunti hai apni kahi hui kahani
aur har bar rone lagti hai
hansti hui laDki
apni hatheli pe
aansuon se
ek qila bana leti hai
aur ek aansu se
ziyaada nahin roti
- Book : saarii nazmen (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.