happy birthday to me
shaam se mere sāmne
Table par ik cake rakhā thā
sham'eñ bhī kitnī thiiñ lekin
ab ke jalnā mujh ko paḌā thā
tanhā baiTh ke soch rahā thā
ab to shaam ke āḳhirī pal haiñ
ab kī baar vo ye din kaise bhuul gayā hai
kyā vo aane se qāsir hai
lekin phone to kar saktā thā
s-m-s to kar saktā thā
phir maiñ ne dil ko samjhāyā
shāyad koī majbūrī ho
āḳhir āñkhoñ ke paanī se ḳhud ko bujhā kar
sālgirah kā cake bhī maiñ ne kaaT diyā hai
chhurī chalī hai cake pe lekin
dil par gahrā zaḳhm lagā hai
sham se mere samne
Table par ek cake rakha tha
sham'en bhi kitni thin lekin
ab ke jalna mujh ko paDa tha
tanha baiTh ke soch raha tha
ab to sham ke aaKHiri pal hain
ab ki bar wo ye din kaise bhul gaya hai
kya wo aane se qasir hai
lekin phone to kar sakta tha
s-m-s to kar sakta tha
phir main ne dil ko samjhaya
shayad koi majburi ho
aaKHir aankhon ke pani se KHud ko bujha kar
salgirah ka cake bhi main ne kaT diya hai
chhuri chali hai cake pe lekin
dil par gahra zaKHm laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.