haq-talfi ka qanun legal hai
maiñ ne dekhā ye merī ġhalatī nahīñ hai
paidā.ish kī jagah aur zamāna
mere iḳhtiyār meñ nahīñ thā
maiñ ne dekhā ye haq-talfī kā qānūn legal hai
maiñ ne dekhā ye merī ġhalatī nahīñ hai
merī taḳhlīq ahsan tarīqe se huī
aur parvarish ke liye
kurra-e-arz naamī
be-tartīb jahannum meñ pheñk diyā gayā
maiñ ne dekhā ye haq-talfī kā qānūn legal hai
maiñ ne dekhā ye merī ġhalatī nahīñ hai
qadīm Tappe gungunātī tahzīb
mujh par jabran musallat kar dī ga.ī
inkār yā farār par maut se kam kī sazā ke sochne par bhī
maut kī sazā hai
maiñ ne dekhā ye haq-talfī kā qānūn legal hai
maiñ ne dekhā ye merī ġhalatī nahīñ hai
mere shu'ūr kā parda merī āñkhoñ ke parde
merī zabān kī chiknāhaT
mere siine kā bāñdh mere bāzuoñ kī machhliyāñ
mere peT kā culture aur
mere agle tamām marhale
merī ġhair-maujūdgī meñ tai hue
maiñ ne dekhā ye haq-talfī kā qānūn legal hai
maiñ ne dekhā ye merī ġhalatī nahīñ hai
maiñ ne dekhā ye haq-talfī kā qānūn legal hai
maiñ ne dekhā
paidā karnā hī sab se aham kaam thā
is se koī ġharaz nahīñ
jo jaisā paidā ho jaa.e
haq-talfī kā qānūn legal hai
main ne dekha ye meri ghalati nahin hai
paidaish ki jagah aur zamana
mere iKHtiyar mein nahin tha
main ne dekha ye haq-talfi ka qanun legal hai
main ne dekha ye meri ghalati nahin hai
meri taKHliq ahsan tariqe se hui
aur parwarish ke liye
kurra-e-arz nami
be-tartib jahannum mein phenk diya gaya
main ne dekha ye haq-talfi ka qanun legal hai
main ne dekha ye meri ghalati nahin hai
qadim Tappe gungunati tahzib
mujh par jabran musallat kar di gai
inkar ya farar par maut se kam ki saza ke sochne par bhi
maut ki saza hai
main ne dekha ye haq-talfi ka qanun legal hai
main ne dekha ye meri ghalati nahin hai
mere shu'ur ka parda meri aankhon ke parde
meri zaban ki chiknahaT
mere sine ka bandh mere bazuon ki machhliyan
mere peT ka culture aur
mere agle tamam marhale
meri ghair-maujudgi mein tai hue
main ne dekha ye haq-talfi ka qanun legal hai
main ne dekha ye meri ghalati nahin hai
main ne dekha ye haq-talfi ka qanun legal hai
main ne dekha
paida karna hi sab se aham kaam tha
is se koi gharaz nahin
jo jaisa paida ho jae
haq-talfi ka qanun legal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.