haqiqat aur hi kuchh hai
ye sab kahne kī bāteñ haiñ
ye māl-o-zar tumhārā hai
mire dil meñ chale aao
ye ḳhālī ghar tumhārā hai
ye sab kahne kī bāteñ haiñ
haqīqat aur hī kuchh hai
ki va.ada karne vaale apne
va.ade bhuul jaate haiñ
zarūrat ik haqīqat hai
kisī insān kā insān se naata nahīñ koī
kisī ke vāste bām-e-falak se
sitāre toḌ kar laatā nahīñ koī
haqīqat aur hī kuchh hai
ye sab kahne kī bāteñ haiñ
ye sab kahne ki baaten hain
ye mal-o-zar tumhaara hai
mere dil mein chale aao
ye KHali ghar tumhaara hai
ye sab kahne ki baaten hain
haqiqat aur hi kuchh hai
ki wada karne wale apne
wade bhul jate hain
zarurat ek haqiqat hai
kisi insan ka insan se nata nahin koi
kisi ke waste baam-e-falak se
sitare toD kar lata nahin koi
haqiqat aur hi kuchh hai
ye sab kahne ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.