haqiqat
titlī jugnū rang-o-ḳhushbū
gul-o-bulbul jaise
isti'āre nahīñ haiñ paas mire
kyūñke maiñ ne
sisaktī sulagtī taḌaptī huī
zindagī ko dekhā hai
khulī aañkh se
maiñ ne dekhī hai
lahū se tar saḌkeñ
maiñ ne dekhe haiñ general ward meñ
bebasī se eḌiyāñ ragaḌte hue
bachche būḌhe lāchār
maiñ ne dekhī haiñ
roTī ke badle
ridā hotī huī
tār-tār
mire shu'ūr meñ
aaj bhī taaza hai
'sāra-shagufta’ ke binā kafan ke
phuul jaise bachche kī laash
maiñ ne dekhī hai
masjid kī TūTtī huī mehrāb
ab mirī be-nūr āñkheñ
kaise dekhe koī hasīn ḳhvāb
titli jugnu rang-o-KHushbu
gul-o-bulbul jaise
isti'are nahin hain pas mere
kyunke main ne
sisakti sulagti taDapti hui
zindagi ko dekha hai
khuli aankh se
main ne dekhi hai
lahu se tar saDken
main ne dekhe hain general ward mein
bebasi se eDiyan ragaDte hue
bachche buDhe lachaar
main ne dekhi hain
roTi ke badle
rida hoti hui
tar-tar
mere shu'ur mein
aaj bhi taza hai
'sara-shagufta’ ke bina kafan ke
phul jaise bachche ki lash
main ne dekhi hai
masjid ki TuTti hui mehrab
ab meri be-nur aankhen
kaise dekhe koi hasin KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.