har aaina ek aks-e-nau DhunDta hai
har ā.īna ik aks-e-nau DhūñDtā hai
samundar kī lahreñ hoñ yā dasht kī an-ginat pattiyāñ
sab yahī sochtī haiñ
ki koī na.ī ruuh in meñ samā jaa.e
uḌte hue abr-pāre musalsal
tulū-e-sahar se numūd-e-shafaq tak
koī samt-e-nau DhūñDte haiñ
ufuq tā ufuq chāñdnī
raat ke dāman-e-be-karāñ meñ
na.ī sā.atoñ ke nishāñ DhūñDhtī hai
talāsh-e-musalsal kī bahtī huī rau meñ ik kaah bhī hai
jo sadiyoñ se is aas meñ bah rahā hai
ki shāyad koī quvvat-e-kahrubā.ī
kisī samt se nā-gahāñ aa ke
āġhosh meñ jazb kar le
magar aarzū kī rasā.ī se bāhar
abhī an-ginat marhale raah meñ haiñ
abhī justujū avvalīñ manziloñ kī hadeñ
paar kartī chalī jā rahī hai
abhī soch kī ibtidā-e-safar hai!
har aaina ek aks-e-nau DhunDta hai
samundar ki lahren hon ya dasht ki an-ginat pattiyan
sab yahi sochti hain
ki koi nai ruh in mein sama jae
uDte hue abr-pare musalsal
tulu-e-sahar se numud-e-shafaq tak
koi samt-e-nau DhunDte hain
ufuq ta ufuq chandni
raat ke daman-e-be-karan mein
nai saaton ke nishan DhunDhti hai
talash-e-musalsal ki bahti hui rau mein ek kah bhi hai
jo sadiyon se is aas mein bah raha hai
ki shayad koi quwwat-e-kahrubai
kisi samt se na-gahan aa ke
aaghosh mein jazb kar le
magar aarzu ki rasai se bahar
abhi an-ginat marhale rah mein hain
abhi justuju awwalin manzilon ki haden
par karti chali ja rahi hai
abhi soch ki ibtida-e-safar hai!
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.