har chehra ek kahani hai
har chehra ek kahānī hai
jab chehre paḌhnā sīkhoge
tab koī kahānī likkhoge
har chehre pe ik naqsha hai
is meñ raste hī raste haiñ
ye raste bhūl-bhulayyāñ haiñ
jab bhūl-bhulayyāñ bhaTkoge
tab koī kahānī likkhoge
har chehra ek samundar hai
har naqsh kī uThtī lahroñ meñ
jab paanī paanī utroge
tab koī kahānī likkhoge
har chehra ek imārat hai
do khiḌkī jaisī āñkhoñ meñ
kuchh duur khaḌī hairānī ko
jab hairānī se dekhoge
tab koī kahānī likkhoge
har chehra ik mahtāb bhī hai
aur ruup nagar kā ḳhvāb bhī hai
is ḳhvāb kā ek azaab suno
vo ruup nagar hai shīshe kā
jab kirchī kirchī bikhroge
tab koī kahānī likkhoge
har chehra ek nishāñ bhī hai
har chehra ek zabāñ bhī hai
jab us kī ramz ko jānoge
jab us kī bāteñ samjhoge
tab koī kahānī likkhoge
har chehra ek kahānī hai
jab chehre paḌhnā sīkhoge
tab koī kahānī likkhoge
āñkhoñ kī zabānī likkhoge
har chehra ek kahani hai
jab chehre paDhna sikhoge
tab koi kahani likkhoge
har chehre pe ek naqsha hai
is mein raste hi raste hain
ye raste bhul-bhulayyan hain
jab bhul-bhulayyan bhaTkoge
tab koi kahani likkhoge
har chehra ek samundar hai
har naqsh ki uThti lahron mein
jab pani pani utroge
tab koi kahani likkhoge
har chehra ek imarat hai
do khiDki jaisi aankhon mein
kuchh dur khaDi hairani ko
jab hairani se dekhoge
tab koi kahani likkhoge
har chehra ek mahtab bhi hai
aur rup nagar ka KHwab bhi hai
is KHwab ka ek azab suno
wo rup nagar hai shishe ka
jab kirchi kirchi bikhroge
tab koi kahani likkhoge
har chehra ek nishan bhi hai
har chehra ek zaban bhi hai
jab us ki ramz ko jaanoge
jab us ki baaten samjhoge
tab koi kahani likkhoge
har chehra ek kahani hai
jab chehre paDhna sikhoge
tab koi kahani likkhoge
aankhon ki zabani likkhoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.