har jada-e-shahr
shahr kī ik ik saḌak
phāñktī aa.ī hai lākhoñ hādsoñ kī sard dhuul
jaane kitne ajnabī ik dūsre ke dost banñe se kināra kar ga.e
aur kitne āshnāoñ ke diloñ se miT ga.ī pahchān bhī
sau nigāheñ laakh zaḳhm
chār-samtī laakh jhuuT
sau tamāshoñ ke paḌe haiñ jā-ba-jā dhabbe
jinheñ
gard-e-masāfat meñ chhupāne ke liye
barq-pā lamhoñ ko thāme dauḌte jaate haiñ ham
lamhe do lamhe ko dam lene kī ḳhātir sust ho jaa.eñ agar
shahr kī ik ik saḌak
āñkhoñ se ḳhuuñ rulvā.egī
aur banā kar ham ko bhī ik dāstāñ
dohrā.e gī
hāñptī tahzīb ke ik ik musāfir se kahegī
dauḌte jaao yahī hai zindagī
mat ruko ik dūsre ke vāste
bhāgtā hai vaqt
lekin lamha lamha
dauḌnā hai sab ko
lekin tanhā tanhā
shahr ki ek ek saDak
phankti aai hai lakhon hadson ki sard dhul
jaane kitne ajnabi ek dusre ke dost banne se kinara kar gae
aur kitne aashnaon ke dilon se miT gai pahchan bhi
sau nigahen lakh zaKHm
chaar-samti lakh jhuT
sau tamashon ke paDe hain ja-ba-ja dhabbe
jinhen
gard-e-masafat mein chhupane ke liye
barq-pa lamhon ko thame dauDte jate hain hum
lamhe do lamhe ko dam lene ki KHatir sust ho jaen agar
shahr ki ek ek saDak
aankhon se KHun rulwaegi
aur bana kar hum ko bhi ek dastan
dohrae gi
hanpti tahzib ke ek ek musafir se kahegi
dauDte jao yahi hai zindagi
mat ruko ek dusre ke waste
bhagta hai waqt
lekin lamha lamha
dauDna hai sab ko
lekin tanha tanha
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.