har jaanib hain
har jānib haiñ diloñ zamīroñ meñ kaale tūfānoñ vaale lafz hazāroñ ghanī bhavoñ ke nīche
ghaat meñ
ab to mere laboñ tak aa bhī harf-e-zinda
har jānib galiyoñ ke daldalī tālāboñ meñ be-satar hirāsāñ khaḌī haiñ rūheñ
qadam khube haiñ niile kīchaḌ meñ aur un kī Dūbtī nazroñ meñ ik baar zarā terī thī un kī zindagī
abhī abhī ik pal ko
aur ab phir kaale tūfāñ vaale lafz un ke liye jaane kyā kyā sandese laa.e haiñ
un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda
muddatoñ se be-yād hai tū mere nisyānoñ meñ ai harf zinda
ab tū mere laboñ par aa bhī
ab jab mere dekhte dekhte kaale tūfāñ vaale lafzoñ kā aabī farsh
ik
bichh bichh gayā hai duur ufuq ke pīchhe kahīñ in pāniyoñ tak jin par ik nāḳhudā paiġhambar kī duāoñ
ke bajre taire the
mere nisyānoñ meñ jahanda harf-e-zinda
tere mānoñ meñ mavvāj haiñ vo sab ilm jo rūhoñ ko khate haiñ us ik ghaaT kī samt
jahāñ ummīd aur ḳhauf ke DāñDe mil jaate haiñ
ab to saarī duniyā meñ se jis ik shaḳhs ko Dūbnā hai vo maiñ huuñ
ab to saarī duniyā meñ vo shaḳhs jo tair ke bach niklegā maiñ huuñ
har jaanib hain dilon zamiron mein kale tufanon wale lafz hazaron ghani bhawon ke niche
ghat mein
ab to mere labon tak aa bhi harf-e-zinda
har jaanib galiyon ke daldali talabon mein be-satar hirasan khaDi hain ruhen
qadam khube hain nile kichaD mein aur un ki Dubti nazron mein ek bar zara teri thi un ki zindagi
abhi abhi ek pal ko
aur ab phir kale tufan wale lafz un ke liye jaane kya kya sandese lae hain
un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda
muddaton se be-yaad hai tu mere nisyanon mein ai harf zinda
ab tu mere labon par aa bhi
ab jab mere dekhte dekhte kale tufan wale lafzon ka aabi farsh
ek
bichh bichh gaya hai dur ufuq ke pichhe kahin in paniyon tak jin par ek naKHuda paighambar ki duaon
ke bajre taire the
mere nisyanon mein jahanda harf-e-zinda
tere manon mein mawwaj hain wo sab ilm jo ruhon ko khate hain us ek ghaT ki samt
jahan ummid aur KHauf ke DanDe mil jate hain
ab to sari duniya mein se jis ek shaKHs ko Dubna hai wo main hun
ab to sari duniya mein wo shaKHs jo tair ke bach niklega main hun
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 707)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.