har sham
har shaam
tum aate ho guzar jaate ho
merī āñkheñ
sub.h se shaam aur shaam ke malgajī ujāle meñ tumhārī aamad kī muntazir
tumheñ dekhte hī raushan ho uThtī haiñ
aur jab tum nahīñ aate
shaam udāsī kī chādar oḌh letī hai
dil Dūbne lagtā hai
maiñ sochtā huuñ aisā kyoñ hotā hai
ġhota-ḳhor
samundar meñ ġhote lagā kar gauhar talāsh karte haiñ
har ġhota
gauhar-e-nāyāb kī justujū hai
tum samundar ho
na maiñ ġhota-ḳhor
lekin
mujhe batāo
vo kaun sā gauhar-e-nāyāb hai
jis kī talāsh
jis kī mujhe talāsh hai
mujhe hai
har sham
tum aate ho guzar jate ho
meri aankhen
subh se sham aur sham ke malgaji ujale mein tumhaari aamad ki muntazir
tumhein dekhte hi raushan ho uThti hain
aur jab tum nahin aate
sham udasi ki chadar oDh leti hai
dil Dubne lagta hai
main sochta hun aisa kyon hota hai
ghota-KHor
samundar mein ghote laga kar gauhar talash karte hain
har ghota
gauhar-e-nayab ki justuju hai
tum samundar ho
na main ghota-KHor
lekin
mujhe batao
wo kaun sa gauhar-e-nayab hai
jis ki talash
jis ki mujhe talash hai
mujhe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.