har shai gungunane lagi
chāhā ai zindagī maiñ ne tujhe
apne kāmoñ se fursat milī na mujh ko
paḌhne ko kuchh likhne ko jī taḌaptā rahā
fikr-e-ayyām ghar vāloñ kā ḳhayāl
bachchoñ ke muskurāte chehre
qalam haath se mere chhūTtā rahā
dil-e-nā-tavāñ ko bahlātī rahī
phir bhī giit zindagī ke maiñ gaatī rahī
raushan sūraj kī kiran āḳhir dar aa.ī
ummīdoñ ke charāġh jal uThe
khil uThā merā gulshan
chahchahāne lage parinde
kaliyoñ pe aa gayā tabassum
chhā ga.ī ghaTā rang-o-nūr kī
'yāsmīn' giit ḳhushī ke phir gaane lagī
har shai gungunāne lagī
chaha ai zindagi main ne tujhe
apne kaamon se fursat mili na mujh ko
paDhne ko kuchh likhne ko ji taDapta raha
fikr-e-ayyam ghar walon ka KHayal
bachchon ke muskuraate chehre
qalam hath se mere chhuTta raha
dil-e-na-tawan ko bahlati rahi
phir bhi git zindagi ke main gati rahi
raushan suraj ki kiran aaKHir dar aai
ummidon ke charagh jal uThe
khil uTha mera gulshan
chahchahane lage parinde
kaliyon pe aa gaya tabassum
chha gai ghaTa rang-o-nur ki
'yasmin' git KHushi ke phir gane lagi
har shai gungunane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.