harakat-e-makus
nizām-e-sarmāya-dārī kaam apnā dikhā chukā hai
har taraf aag lag chukī hai
tijārat-e-ġham panap rahī hai
dukhoñ kā kārobār baḌh gayā hai
global village kī āzād-market meñ
husūl-e-insāf anqā ho chukā hai
āzādī-e-rā.e ke naam par pechīda afkār pak rahe haiñ
kahīñ pe science fat.h ke na.are lagā rahī hai
kahīñ pe insāniyat apnā chehra chhupā rahī hai
ajiib jañgī junūñ kā duniyā ko sāmnā hai
fan-e-tash.hīr ne masnūāt-e-nāqis ko bhī
kāmiliyyat kā darja atā kiyā hai
ye daur-e-irtiqā to harakat-e-ma.akūs ban chukā hai
nizam-e-sarmaya-dari kaam apna dikha chuka hai
har taraf aag lag chuki hai
tijarat-e-gham panap rahi hai
dukhon ka karobar baDh gaya hai
global willage ki aazad-market mein
husul-e-insaf anqa ho chuka hai
aazadi-e-rae ke nam par pechida afkar pak rahe hain
kahin pe science fath ke nare laga rahi hai
kahin pe insaniyat apna chehra chhupa rahi hai
ajib jangi junun ka duniya ko samna hai
fan-e-tashhir ne masnuat-e-naqis ko bhi
kaamiliyyat ka darja ata kiya hai
ye daur-e-irtiqa to harakat-e-makus ban chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.