harf-e-aKHir
tumheñ ye fikr ki hai kaun vo gul-e-tāza
jo merī āḳhirī dhaḌkan kā harf-e-āḳhir hai
mujhe yaqīn ki ab tum ko kyā nahīñ ma.alūm
tumheñ pata hai ki hai kaun vo gul-e-tāza
ba-juz tumhāre kisī mere ġham kā andāza
jo naam barsoñ se hoñToñ pe raqs-farmā hai
vo naam chhīn na lo aaj mere hoñToñ se
jo baat dafn hai sadiyoñ se mere siine meñ
vo baat tum ko batāne se kuchh nahīñ hāsil
jo phuul palkoñ pe maiñ ne sajā.e rakkhe the
vo phuul auroñ ke dāman meñ kyoñ bikhar jaate
jo ḳhvāb āñkhoñ meñ maiñ ne chhupā.e rakkhe the
vo ḳhvāb mere haiñ mujh se kabhī na chhīno tum
maiñ jaisā kuchh bhī huuñ jis haal meñ huuñ jiine do
taḌapte karb ke aalam meñ zahr piine do
tumhein ye fikr ki hai kaun wo gul-e-taza
jo meri aaKHiri dhaDkan ka harf-e-aKHir hai
mujhe yaqin ki ab tum ko kya nahin malum
tumhein pata hai ki hai kaun wo gul-e-taza
ba-juz tumhaare kisi mere gham ka andaza
jo nam barson se honTon pe raqs-farma hai
wo nam chhin na lo aaj mere honTon se
jo baat dafn hai sadiyon se mere sine mein
wo baat tum ko batane se kuchh nahin hasil
jo phul palkon pe main ne sajae rakkhe the
wo phul auron ke daman mein kyon bikhar jate
jo KHwab aankhon mein main ne chhupae rakkhe the
wo KHwab mere hain mujh se kabhi na chhino tum
main jaisa kuchh bhi hun jis haal mein hun jine do
taDapte karb ke aalam mein zahr pine do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.