harf-e-arzu
ai mire ḳhvāboñ kī manzil ai mirī jān-e-vafā
tū ne mere dil pe jaane sehr sā kyā kar diyā
bhūltā huuñ jis qadar utnā hī yaad aatī hai tū
dhaḌkaneñ dil kī fuzūñ kuchh aur kar jaatī hai tū
tere andāz-e-takallum par fidā har saaz hai
chaal meñ abr-e-ḳhirāmāñ kā sā ik andāz hai
terī sāñsoñ kī mahak se dil pe chhātā hai ḳhumār
tū jo aa jaa.e to vīrāne meñ aa jaa.e bahār
terī āñkhoñ ke fusūñ se dil mirā mas.hūr hai
tere hoñToñ kā tabassum āb-shār-e-nūr hai
tū agar mil jaa.e to aa jaa.e is dil ko qarār
ḳhatm ho jaa.e mirī jāñ-soz shām-e-intizār
aaj terī yaad meñ dil be-tarah ġhamgīñ hai
tū na aa.ī to ye sachche pyaar kī tauhīn hai
ai mere KHwabon ki manzil ai meri jaan-e-wafa
tu ne mere dil pe jaane sehr sa kya kar diya
bhulta hun jis qadar utna hi yaad aati hai tu
dhaDkanen dil ki fuzun kuchh aur kar jati hai tu
tere andaz-e-takallum par fida har saz hai
chaal mein abr-e-KHiraman ka sa ek andaz hai
teri sanson ki mahak se dil pe chhata hai KHumar
tu jo aa jae to virane mein aa jae bahaar
teri aankhon ke fusun se dil mera mashur hai
tere honTon ka tabassum aab-shaar-e-nur hai
tu agar mil jae to aa jae is dil ko qarar
KHatm ho jae meri jaan-soz sham-e-intizar
aaj teri yaad mein dil be-tarah ghamgin hai
tu na aai to ye sachche pyar ki tauhin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.