harf-e-ghair
mere ahbāb meñ ik shā.er-e-kam-nām bhī hai
zehn hai jis kā ajab rāhat-gāh
hādse ek zamāne ke jahāñ aa ke sukūñ paate haiñ
jab chamak uThte haiñ kuchh hādse iz.hār kī peshānī par
vo simaTtā sā chalā jaatā hai
ya.anī har nazm use aur bhī begāna banā detī hai
shab na.ī nazm liye baiThā thā ahbāb ke biich
aur sab hama-tan-gosh use sunte the
nazm ke ba.ad vo aalam thā ki sannāTā na karvaT le paa.e
(note:ġhair-pasañdīdagī kī vaj.h se)
is ne yuuñ dekhā nahīñ dād-talab nazroñ se
jaise is aas meñ ho
gul ke girne kī sadā farsh se aa.egī abhī
mere ahbab mein ek shaer-e-kam-nam bhi hai
zehn hai jis ka ajab rahat-gah
hadse ek zamane ke jahan aa ke sukun pate hain
jab chamak uThte hain kuchh hadse izhaar ki peshani par
wo simaTta sa chala jata hai
yani har nazm use aur bhi begana bana deti hai
shab nai nazm liye baiTha tha ahbab ke bich
aur sab hama-tan-gosh use sunte the
nazm ke baad wo aalam tha ki sannaTa na karwaT le pae
(note:ghair-pasandidagi ki wajh se)
is ne yun dekha nahin dad-talab nazron se
jaise is aas mein ho
gul ke girne ki sada farsh se aaegi abhi
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 105)
- Author : Bani Manchanda
- Publication : Maktaba Tehreek, Ansari Market,Daryaganj,New Delhi (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.