harf-e-ghalat
lafz tanhā koī ma.anī rakhtā nahīñ
apne ma.anī kī ḳhātir
alfāz kī bhiiḌ meñ ḳhud ko khonā paḌegā
varna harf-e-ġhalat kī tarah
saf.ha-e-dahr se vo bhī miT jā.egā
lafz tanha koi mani rakhta nahin
apne mani ki KHatir
alfaz ki bhiD mein KHud ko khona paDega
warna harf-e-ghalat ki tarah
safha-e-dahr se wo bhi miT jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.