harf-e-sadaqat
sāñsoñ kā vo pahlā lamha
ḳhvāboñ kī vo pahlī saa.at
narm havā ne jab merā ehsās chhuā thā
ḳhushbū ne jab lab khole the
karb-e-basīrat ne mere andar jhāñkā thā
harf-e-sadāqat ne mujh se sargoshī kī thī
ye saarī duniyā merī hai
aag havā miTTī aur paanī
sab par merā naam likhā hai
ūñchā parbat khulā āsmāñ phailī dhartī
dariyā jangal sahrā vaadī
rone hañsne kī āzādī
sab mere haiñ
sūraj chāñd sitāre mere
tūfāñ aur kināre mere
rishtoñ ke sab saa.e mere
apne aur parā.e mere
ḳhushbū merī rangat merī
nafrat aur mohabbat merī
saare din sab rāteñ merī
mausam kī sauġhāteñ merī
aaheñ merī aañsū mere
jiine ke sab pahlū mere
duniyā merī duniyā kī har ik shai merī
lekin merā vo maiñ jis ne
ḳhud mujh ko vus.at baḳhshī hai
kyā hai kaisā hai kitnā hai
merā kab hai
isī liye lagtā hai mujh ko
duniyā kī is bhiiḌ meñ shāyad
maiñ tanhā huuñ
sanson ka wo pahla lamha
KHwabon ki wo pahli saat
narm hawa ne jab mera ehsas chhua tha
KHushbu ne jab lab khole the
karb-e-basirat ne mere andar jhanka tha
harf-e-sadaqat ne mujh se sargoshi ki thi
ye sari duniya meri hai
aag hawa miTTi aur pani
sab par mera nam likha hai
uncha parbat khula aasman phaili dharti
dariya jangal sahra wadi
rone hansne ki aazadi
sab mere hain
suraj chand sitare mere
tufan aur kinare mere
rishton ke sab sae mere
apne aur parae mere
KHushbu meri rangat meri
nafrat aur mohabbat meri
sare din sab raaten meri
mausam ki saughaten meri
aahen meri aansu mere
jine ke sab pahlu mere
duniya meri duniya ki har ek shai meri
lekin mera wo main jis ne
KHud mujh ko wusat baKHshi hai
kya hai kaisa hai kitna hai
mera kab hai
isi liye lagta hai mujh ko
duniya ki is bhiD mein shayad
main tanha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.