harf
vaadī vaadī sahrā sahrā phirtā rahā maiñ dīvāna
koh milā
to dariyā ban kar us kā siina chiir ke guzrā
sahrāoñ kī tund havāoñ meñ laala ban kar jaltā rahā
dhartī kī āġhosh milī
to paudā ban kar phūTā
jab ākāsh se nazreñ milīñ
to taa.ir ban ke uḌā
ġhāroñ ke añdhiyāroñ meñ maiñ chāñd banā
aur ākāsh pe sūraj ban kar chamkā
phir bhī maiñ dīvāna rahā
apne sapnoñ ḳhvāboñ kī ulTī sīdhī tasvīr banā.ī
TeḌhī meḌhī lakīreñ khīñchīñ
lekin jab ik harf milā
goyā nuur kī kirneñ mere do hoñToñ meñ simaT aa.ī haiñ
maiñ ye charāġh-e-alā-dīñ le kar
ġhāroñ ke añdhiyāroñ meñ kho.e hue motī DhūñD rahā huuñ
wadi wadi sahra sahra phirta raha main diwana
koh mila
to dariya ban kar us ka sina chir ke guzra
sahraon ki tund hawaon mein lala ban kar jalta raha
dharti ki aaghosh mili
to pauda ban kar phuTa
jab aakash se nazren milin
to tair ban ke uDa
ghaaron ke andhiyaron mein main chand bana
aur aakash pe suraj ban kar chamka
phir bhi main diwana raha
apne sapnon KHwabon ki ulTi sidhi taswir banai
TeDhi meDhi lakiren khinchin
lekin jab ek harf mila
goya nur ki kirnen mere do honTon mein simaT aai hain
main ye charagh-e-ala-din le kar
ghaaron ke andhiyaron mein khoe hue moti DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.