harf
vo harf-e-āḳhir kahāñ gayā hai
vo harf jis kī tahoñ meñ apnī
mohabbatoñ kī jo ik kahānī chhipī huī thī
vo ik kahānī ki jis kī rau se hī umr bhar kā
qarār paate bahār paate
mohabbatoñ meñ surūr dil kā surāġh paate
vo harf-e-āḳhir kahāñ gayā hai
vo harf jo ik shajar kī sūrat
hamāre gulshan-numā makāñ meñ
bahut aziyyat bharī fazā meñ
ḳhizāñ ke mausam ke dā.eroñ se
guzar ke fasl-e-bahār laatā
vo harf āḳhir kahāñ gayā hai
vo harf hī to hamāre sar par
jo ek sāya-numā shajar thā
ki jis ke saa.e meñ rah ke ham sab
dukhoñ ke saare
azaab ke din
ḳhushī ḳhushī hī guzār lete
vo harf-e-āḳhir
bichhaḌ ke ham se
kahāñ gayā hai
ye saarā qissa
bayān kar ke
jo aaj ham ne kisī se pūchhā
vo ġhaur kar ke
alāmatoñ ko samajh ke sanjīdgī se bolā
'azīm' vo harf mar chukā hai
wo harf-e-aKHir kahan gaya hai
wo harf jis ki tahon mein apni
mohabbaton ki jo ek kahani chhipi hui thi
wo ek kahani ki jis ki rau se hi umr bhar ka
qarar pate bahaar pate
mohabbaton mein surur dil ka suragh pate
wo harf-e-aKHir kahan gaya hai
wo harf jo ek shajar ki surat
hamare gulshan-numa makan mein
bahut aziyyat bhari faza mein
KHizan ke mausam ke daeron se
guzar ke fasl-e-bahaar lata
wo harf aaKHir kahan gaya hai
wo harf hi to hamare sar par
jo ek saya-numa shajar tha
ki jis ke sae mein rah ke hum sab
dukhon ke sare
azab ke din
KHushi KHushi hi guzar lete
wo harf-e-aKHir
bichhaD ke hum se
kahan gaya hai
ye sara qissa
bayan kar ke
jo aaj hum ne kisi se puchha
wo ghaur kar ke
alamaton ko samajh ke sanjidgi se bola
'azim' wo harf mar chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.