harif-e-visal
ajiib shab thī
jo ek pal meñ simaT ga.ī thī
ajiib pal thā
jo sāl-hā-sāl kī masāfat pe par-fishāñ thā
aur us ke saa.e meñ ek mausam Thahar gayā thā
(kisī ke dil meñ thā kyā kisī ko ḳhabar nahīñ thii)
bas ek aalam supurdagī kā
bas ek dariyā-e-tishnagī thā ki jis kī maujeñ
umaD umaD kar bikhar rahī thiiñ
khule samundar meñ Duub jaane kī aarzū meñ machal rahī thiiñ
ḳhayāl husn-e-ḳhayāl meñ gum
nigāh ḳhvāb-e-jamāl meñ gum
na jaane kis ḳhvāb kī ye ta.abīr thī ki āñkhoñ meñ jāgtī thī
na jaane kis aarzū kī takmīl ho rahī thī
ki aañkh se aañkh
lab se lab mahv-e-guftugū the
magar bas ik baat mo'tabar thī
kisī ke dil meñ thā kyā kisī ko ḳhabar nahīñ thī
vo lamha guzrā ki sehr TuuTā
yakā-yak ehsās-e-umr jaagā
har ek chehra ḳhud apnī āñkhoñ meñ ā.īna ho gayā ho jaise
tilism-e-sim-sim se jis ḳhazāne kā dar khulā thā
vo yak-ba-yak kho gayā ho jaise
ajiib thā ek chor dil meñ
jo is ḳhazāne kā pāsbāñ thā
jo saa.e kī tarah darmiyāñ thā
taqāza-e-māh-o-sāl thā vo?
ki dil kī gahrā.iyoñ meñ bedār
koī ḳhauf-e-ma.āl thā vo?
ajiib sā ik ḳhayāl thā vo
hujūm-e-jazbāt meñ dar aayā thā jo harīf-e-visāl ban kar
jo dil kī dhaḌkan meñ ruk gayā thā zamīr kā ik savāl ban kar
ajib shab thi
jo ek pal mein simaT gai thi
ajib pal tha
jo sal-ha-sal ki masafat pe par-fishan tha
aur us ke sae mein ek mausam Thahar gaya tha
(kisi ke dil mein tha kya kisi ko KHabar nahin thi)
bas ek aalam supurdagi ka
bas ek dariya-e-tishnagi tha ki jis ki maujen
umaD umaD kar bikhar rahi thin
khule samundar mein Dub jaane ki aarzu mein machal rahi thin
KHayal husn-e-KHayal mein gum
nigah KHwab-e-jamal mein gum
na jaane kis KHwab ki ye tabir thi ki aankhon mein jagti thi
na jaane kis aarzu ki takmil ho rahi thi
ki aankh se aankh
lab se lab mahw-e-guftugu the
magar bas ek baat mo'tabar thi
kisi ke dil mein tha kya kisi ko KHabar nahin thi
wo lamha guzra ki sehr TuTa
yaka-yak ehsas-e-umr jaga
har ek chehra KHud apni aankhon mein aaina ho gaya ho jaise
tilism-e-sim-sim se jis KHazane ka dar khula tha
wo yak-ba-yak kho gaya ho jaise
ajib tha ek chor dil mein
jo is KHazane ka pasban tha
jo sae ki tarah darmiyan tha
taqaza-e-mah-o-sal tha wo?
ki dil ki gahraiyon mein bedar
koi KHauf-e-maal tha wo?
ajib sa ek KHayal tha wo
hujum-e-jazbaat mein dar aaya tha jo harif-e-visal ban kar
jo dil ki dhaDkan mein ruk gaya tha zamir ka ek sawal ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.