harjai
bhañvrā
kalī-kalī se
ras chūse uḌ jaa.e
bulbul
phūl-phūl par
apnā man bharmā.e
koyal
har ambuvā par
giit rasīle gaa.e
jogī
galī-galī se
bhikshā le ram jaa.e
raahī
jagah-jagah par
Thahre jī bahlā.e
shā'ir
qadam-qadam par
ruup dekh muskā.e
pītam
dekh dekh ke
albelī sharmā.e
rasiyā
rang-rūp kā
piit kare ghabrā.e
saaqī
mai-ḳhāne meñ
sab se aañkh milā.e
aashā
ang-ang meñ
bal khaa.e lahrā.e
bhanwra
kali-kali se
ras chuse uD jae
bulbul
phul-phul par
apna man bharmae
koyal
har ambuwa par
git rasile gae
jogi
gali-gali se
bhiksha le ram jae
rahi
jagah-jagah par
Thahre ji bahlae
sha'ir
qadam-qadam par
rup dekh muskae
pitam
dekh dekh ke
albeli sharmae
rasiya
rang-rup ka
pit kare ghabrae
saqi
mai-KHane mein
sab se aankh milae
aasha
ang-ang mein
bal khae lahrae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.