hasan kuza-gar (2)
ai jahāñ-zād,
nashāt us shab-e-be-rāh-ravī kī
maiñ kahāñ tak bhūlūñ?
zor-e-mai thā ki mere haath kī larzish thī
ki us raat koī jaam girā TuuT gayā
tujhe hairat na huii!
ki tire ghar ke darīchoñ ke ka.ī shīshoñ par
us se pahle kī bhī durzeñ thiiñ bahut
tujhe hairat na huii!
ai jahāñ-zād,
maiñ kūzoñ kī taraf apne taġhāroñ kī taraf
ab jo baġhdād se lauTā huuñ
to maiñ sochtā huuñ
sochtā huuñ tū mere sāmne ā.īna rahī
sar-e-bāzār darīche meñ sar-e-bistar-e-san.jāb kabhī
tū mere sāmne ā.īna rahī
jis meñ kuchh bhī nazar aayā na mujhe
apnī hī sūrat ke sivā
apnī tanhā.i-e-jān-kāh kī dahshat ke sivā!
likh rahā huuñ tujhe ḳhat
aur vo ā.īna mere haath meñ hai
is meñ kuchh bhī nazar aatā nahīñ
ab ek hī sūrat ke sivā!
likh rahā huuñ tujhe ḳhat
aur mujhe likhnā bhī kahāñ aatā hai?
lauh-e-ā.īnā pe ashkoñ kī phavvaroñ hī se
ḳhat kyuuñ na likhūñ?
ai jahāñ-zād,
nashāt us shab-e-be-rāh-ravī kī
mujhe phir lā.egī?
vaqt kyā chiiz hai tū jāntī hai?
vaqt ik aisā patiñgā hai
jo dīvāroñ pe ā.īnoñ pe
paimānoñ pe shīshoñ pe
mire jaam o subū mere taġhāroñ pe
sadā reñgtā hai
reñgte vaqt ke mānind kabhī
lauT ke aa.egā hasan kūza-gar-e-soḳhta-jāñ bhī shāyad!
ab jo lauTā huuñ jahāñ-zād
to maiñ sochtā huuñ!
shāyad is jhoñpaḌe kī chhat pe ye makḌī mirī mahrūmī kī
jise tantī chalī jaatī hai vo jaalā to nahīñ huuñ maiñ bhii?
ye siyah jhoñpaḌā meñ jis meñ paḌā sochtā huuñ
mere aflās ke rauñde hue ajdād kī
bas ek nishānī hai yahī
un ke fan un kī ma.īshat kī kahānī hai yahī
maiñ jo lauTā huuñ to vo soḳhta-baḳht
aa ke mujhe dekhtī hai
der tak dekhtī rah jaatī hai
mere is jhoñpaḌe meñ kuchh bhī nahīñ
khel ik saada mohabbat kā
shab o roz ke is baḌhte hue khokhle-pan meñ jo kabhī khelte haiñ
kabhī ro lete haiñ mil kar kabhī gā lete haiñ
aur mil kar kabhī hañs lete haiñ
dil ke jiine ke bahāne ke sivā aur nahīñ
harf sarhad haiñ jahāñ-zād ma.ānī sarhad
ishq sarhad hai javānī sarhad
dil ke jiine ke bahāne ke sivā aur nahīñ
dard-e-mahrūmī kī
tanhā.ī kī sarhad bhī kahīñ hai ki nahīñ?
mere is jhoñpaḌe meñ
kitnī hī ḳhushbueñ haiñ
jo mere gird sadā reñgtī haiñ
usī ik raat kī ḳhushbū kī tarah reñgtī haiñ
dar o dīvār se lipTī huī is gird kī ḳhushbū bhī hai
mere aflās kī tanhā.ī kī
yādoñ kī tamannāoñ kī ḳhushbueñ bhī
phir bhī is jhoñpaḌe meñ kuchh bhī nahīñ
ye merā jhoñpaḌā tārīk hai ganda hai parāganda hai
haañ kabhī duur daraḳhtoñ se parindoñ kī sadā aatī hai
kabhī injīroñ ke zaitūnoñ ke bāġhoñ kī mahak aatī hai
to maiñ jī uThtā huuñ
to maiñ kahtā huuñ ke lo aaj nahā kar niklā!
varna is ghar meñ koī sej nahīñ itr nahīñ hai
koī pañkhā bhī nahīñ,
tujhe jis ishq kī ḳhū hai
mujhe us ishq kā yaarā bhī nahīñ!
tū hañsnegī ai jahāñ-zād ajab baat
ki jazbāt kā hātim bhī maiñ
aur ashiyā kā parastār bhī maiñ
aur sarvat jo nahīñ us kā talabgār bhī maiñ!
tū jo hañstī rahī us raat tazabzub pe mere
merī do-rañgī pe phir se hañs de!
ishq se kis ne magar paayā hai kuchh apne sivā?
ai jahāñ-zāb
hai har ishq savāl aisā ke āshiq ke sivā
us kā nahīñ koī javāb
yahī kaafī hai ki bātin kī sadā guuñj uThe!
ai jahāñ-zād
mere gosha-e-bātin kī sadā hī thī
mere fan kī ThaThurtī huī sadiyoñ
ke kināre gūñjī
terī āñkhoñ ke samundar kā kinārā hī thā
sadiyoñ kā kinārā niklā
ye samundar jo mirī zaat kā ā.īna hai
ye samundar jo mere kūzoñ ke bigḌe hue
bante hue sīmāoñ kā ā.īna hai
ye samundar jo har ik fan kā
har ik fan ke parastār kā
ā.īna hai
ai jahan-zad,
nashat us shab-e-be-rah-rawi ki
main kahan tak bhulun?
zor-e-mai tha ki mere hath ki larzish thi
ki us raat koi jam gira TuT gaya
tujhe hairat na hui!
ki tere ghar ke darichon ke kai shishon par
us se pahle ki bhi durzen thin bahut
tujhe hairat na hui!
ai jahan-zad,
main kuzon ki taraf apne taghaaron ki taraf
ab jo baghdad se lauTa hun
to main sochta hun
sochta hun tu mere samne aaina rahi
sar-e-bazar dariche mein sar-e-bistar-e-sanjab kabhi
tu mere samne aaina rahi
jis mein kuchh bhi nazar aaya na mujhe
apni hi surat ke siwa
apni tanhai-e-jaan-kah ki dahshat ke siwa!
likh raha hun tujhe KHat
aur wo aaina mere hath mein hai
is mein kuchh bhi nazar aata nahin
ab ek hi surat ke siwa!
likh raha hun tujhe KHat
aur mujhe likhna bhi kahan aata hai?
lauh-e-aina pe ashkon ki phawwaron hi se
KHat kyun na likhun?
ai jahan-zad,
nashat us shab-e-be-rah-rawi ki
mujhe phir laegi?
waqt kya chiz hai tu jaanti hai?
waqt ek aisa patinga hai
jo diwaron pe aainon pe
paimanon pe shishon pe
mere jam o subu mere taghaaron pe
sada rengta hai
rengte waqt ke manind kabhi
lauT ke aaega hasan kuza-gar-e-soKHta-jaan bhi shayad!
ab jo lauTa hun jahan-zad
to main sochta hun!
shayad is jhonpaDe ki chhat pe ye makDi meri mahrumi ki
jise tanti chali jati hai wo jala to nahin hun main bhi?
ye siyah jhonpaDa mein jis mein paDa sochta hun
mere aflas ke raunde hue ajdad ki
bas ek nishani hai yahi
un ke fan un ki maishat ki kahani hai yahi
main jo lauTa hun to wo soKHta-baKHt
aa ke mujhe dekhti hai
der tak dekhti rah jati hai
mere is jhonpaDe mein kuchh bhi nahin
khel ek sada mohabbat ka
shab o roz ke is baDhte hue khokhle-pan mein jo kabhi khelte hain
kabhi ro lete hain mil kar kabhi ga lete hain
aur mil kar kabhi hans lete hain
dil ke jine ke bahane ke siwa aur nahin
harf sarhad hain jahan-zad maani sarhad
ishq sarhad hai jawani sarhad
dil ke jine ke bahane ke siwa aur nahin
dard-e-mahrumi ki
tanhai ki sarhad bhi kahin hai ki nahin?
mere is jhonpaDe mein
kitni hi KHushbuen hain
jo mere gird sada rengti hain
usi ek raat ki KHushbu ki tarah rengti hain
dar o diwar se lipTi hui is gird ki KHushbu bhi hai
mere aflas ki tanhai ki
yaadon ki tamannaon ki KHushbuen bhi
phir bhi is jhonpaDe mein kuchh bhi nahin
ye mera jhonpaDa tarik hai ganda hai paraganda hai
han kabhi dur daraKHton se parindon ki sada aati hai
kabhi injiron ke zaitunon ke baghon ki mahak aati hai
to main ji uThta hun
to main kahta hun ke lo aaj naha kar nikla!
warna is ghar mein koi sej nahin itr nahin hai
koi pankha bhi nahin,
tujhe jis ishq ki KHu hai
mujhe us ishq ka yara bhi nahin!
tu hansnegi ai jahan-zad ajab baat
ki jazbaat ka hatim bhi main
aur ashiya ka parastar bhi main
aur sarwat jo nahin us ka talabgar bhi main!
tu jo hansti rahi us raat tazabzub pe mere
meri do-rangi pe phir se hans de!
ishq se kis ne magar paya hai kuchh apne siwa?
ai jahan-zab
hai har ishq sawal aisa ke aashiq ke siwa
us ka nahin koi jawab
yahi kafi hai ki baatin ki sada gunj uThe!
ai jahan-zad
mere gosha-e-baatin ki sada hi thi
mere fan ki ThaThurti hui sadiyon
ke kinare gunji
teri aankhon ke samundar ka kinara hi tha
sadiyon ka kinara nikla
ye samundar jo meri zat ka aaina hai
ye samundar jo mere kuzon ke bigDe hue
bante hue simaon ka aaina hai
ye samundar jo har ek fan ka
har ek fan ke parastar ka
aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.