hasan kuza-gar(3)
jahāñ-zād
vo halab kī kārvāñ-saraā kā hauz, raat vo sukūt
jis meñ ek dūsre se ham-kinār tairte rahe
muhīt jis tarah ho dā.ere ke gird halqā-zan
tamām raat tairte rahe the ham
ham ek dūsre ke jism o jaañ se lag ke
tairte rahe the ek shād-kām ḳhauf se
ki jaise paanī āñsuoñ meñ tairtā rahe
ham ek dūsre se mutma.in zavāl-e-umr ke ḳhilāf
tairte rahe
tū kah uThī 'hasan yahāñ bhī khīñch laa.ī
jaañ kī tishnagī tujhe!'
(lo apnī jaañ kī tishnagī ko yaad kar rahā thā maiñ
ki merā halq āñsuoñ kī be-bahā saḳhāvatoñ
se shād-kām ho gayā!)
magar ye vahm dil meñ tairne lagā ki ho na ho
mirā badan kahīñ halab ke hauz hī meñ rah gayā
nahīñ, mujhe duī kā vāhima nahīñ
ki ab bhī rabt-e-jism-o-jāñ kā e'tibār hai mujhe
yahī vo e'tibār thā
ki jis ne mujh ko aap meñ samo diyā
maiñ sab se pahle 'aap' huuñ
agar hamīñ hoñ tū ho aur maiñ huuñ phir bhī maiñ
har ek shai se pahle aap hoñ!
agar maiñ zinda huuñ to kaise aap se daġhā karūñ?
ki tere jaisī aurteñ, jahāñ-zād,
aisī uljhaneñ haiñ
jin ko aaj tak koī nahīñ 'sulajh' sakā
jo maiñ kahūñ ke maiñ 'sulajh' sakā to sar-ba-sar
fareb apne aap se!
ki auratoñ kī sāḳht hai vo tanz apne-āp par
javāb jis kā ham nahīñ
(labīb kaun hai? tamām raat jis kā zikr
tere lab pe thā
vo kaun tere gesuoñ ko khīñchtā rahā
laboñ ko nochtā rahā
jo maiñ kabhī na kar sakā
nahīñ ye sach hai maiñ huuñ yā labīb ho
raqīb ho to kis liye tirī ḳhud-āgahī kī be-riyā nashāt-e-nāb kā
jo sad-navā o yak-navā ḳhirām-e-sub.h kī tarah
labīb har navā-e-sāz-gār kī nafī sahī!)
magar hamārā rābta visāl-e-āb-o-gil nahīñ, na thā kabhī
vajūd-e-ādmī se āb-o-gil sadā barūñ rahe
na har visāl-e-āb-o-gil se koī jaam yā subū hī ban sakā
jo in kā ek vāhima hī ban sake to ban sake!
jahāñ-zād
ek tū aur ek vo aur ek maiñ
ye tiin zāviye kisī musallas-e-qadīm ke
hamesha ghūmte rahe
ki jaise merā chaak ghūmtā rahā
magar na apne-āp kā koī surāġh pā sake
musallas-e-qadīm ko maiñ toḌ, duuñ jo tū kahe, magar nahīñ
jo sehr mujh pe chaak kā vahī hai is musallas-e-qadīm kā
nigāheñ mere chaak kī jo mujh ko dekhtī haiñ
ghūmte hue
subū-o-jām par tirā badan tirā hī rañg terī nāzukī
baras paḌī
vo kīmiyā-garī tire jamāl kī baras paḌī
maiñ sail-e-nūr-e-andrūñ se dhul gayā!
mire daroñ kī ḳhalq yuuñ galī galī nikal paḌī
ki jaise sub.h kī azaañ sunā.ī dii!
tamām kuuze bante bante 'tuu' hī ban ke rah ga.e
nashāt is visāl-e-rah-guzar kī nā-gahāñ mujhe nigal ga.ī
yahī pyāla-o-surāhī-o-subū kā marhala hai vo
ki jab ḳhamīr-e-āb-o-gil se vo judā hue
to un ko samt-e-rāh-e-nau kī kāmrāniyāñ mileñ
maiñ ik ġharīb kūza-gar
ye intihā-e-mārifat
ye har pyāla-o-surāhī-o-subū kī intihā-e-mārifat
mujhe ho is kī kyā ḳhabar?
jahāñ-zād
intizār aaj bhī mujhe hai kyuuñ vahī magar
jo nau baras ke daur-e-nā-sazā meñ thaa?
ab intizār āñsuoñ ke dajla kā
na gumrahī kī raat kā
shab-e-gunah kī lazzatoñ kā itnā zikr kar chukā
vo ḳhud gunāh ban ga.īñ!
halab kī kārvāñ-sarā ke hauz kaa, na maut kā
na apnī is shikast-ḳhurdā zaat kā
ik intizār-e-be-amāñ kā taar hai bañdhā huaa!
kabhī jo chand sāniye zamān-e-be-zamāñ meñ aa ke ruk ga.e
to vaqt kā ye baar mere sar se bhī utar gayā
tamām rafta o guzishta sūrtoñ, tamām hādsoñ
ke sust qāfile
mire darūñ meñ jaag uThe
mere darūñ meñ ik jahān-e-bāz-yāftā kī rel-pel jaag uThī
bahisht jaise jaag uThe ḳhudā ke lā-shu.ūr meñ!
maiñ jaag uThā ġhunūdgī kī ret par paḌā huā
ġhunūdgī kī ret par paḌe hue vo kuuze jo
mire vajūd se barūñ
tamām reza reza ho ke rah ga.e the
mere apne-āp se firāq meñ
vo phir se ek kul bane (kisī navā-e-sāz-gār kī tarah)
vo phir se ek raqs-e-be-zamāñ bane
vo rūyat-e-azal bane!
jahan-zad
wo halab ki karwan-saraa ka hauz, raat wo sukut
jis mein ek dusre se ham-kinar tairte rahe
muhit jis tarah ho daere ke gird halqa-zan
tamam raat tairte rahe the hum
hum ek dusre ke jism o jaan se lag ke
tairte rahe the ek shad-kaam KHauf se
ki jaise pani aansuon mein tairta rahe
hum ek dusre se mutmain zawal-e-umr ke KHilaf
tairte rahe
tu kah uThi 'hasan yahan bhi khinch lai
jaan ki tishnagi tujhe!'
(lo apni jaan ki tishnagi ko yaad kar raha tha main
ki mera halq aansuon ki be-baha saKHawaton
se shad-kaam ho gaya!)
magar ye wahm dil mein tairne laga ki ho na ho
mera badan kahin halab ke hauz hi mein rah gaya
nahin, mujhe dui ka wahima nahin
ki ab bhi rabt-e-jism-o-jaan ka e'tibar hai mujhe
yahi wo e'tibar tha
ki jis ne mujh ko aap mein samo diya
main sab se pahle 'ap' hun
agar hamin hon tu ho aur main hun phir bhi main
har ek shai se pahle aap hon!
agar main zinda hun to kaise aap se dagha karun?
ki tere jaisi aurten, jahan-zad,
aisi uljhanen hain
jin ko aaj tak koi nahin 'sulajh' saka
jo main kahun ke main 'sulajh' saka to sar-ba-sar
fareb apne aap se!
ki auraton ki saKHt hai wo tanz apne-ap par
jawab jis ka hum nahin
(labib kaun hai? tamam raat jis ka zikr
tere lab pe tha
wo kaun tere gesuon ko khinchta raha
labon ko nochta raha
jo main kabhi na kar saka
nahin ye sach hai main hun ya labib ho
raqib ho to kis liye teri KHud-agahi ki be-riya nashat-e-nab ka
jo sad-nawa o yak-nawa KHiram-e-subh ki tarah
labib har nawa-e-saz-gar ki nafi sahi!)
magar hamara rabta visal-e-ab-o-gil nahin, na tha kabhi
wajud-e-admi se aab-o-gil sada barun rahe
na har visal-e-ab-o-gil se koi jam ya subu hi ban saka
jo in ka ek wahima hi ban sake to ban sake!
jahan-zad
ek tu aur ek wo aur ek main
ye tin zawiye kisi musallas-e-qadim ke
hamesha ghumte rahe
ki jaise mera chaak ghumta raha
magar na apne-ap ka koi suragh pa sake
musallas-e-qadim ko main toD, dun jo tu kahe, magar nahin
jo sehr mujh pe chaak ka wahi hai is musallas-e-qadim ka
nigahen mere chaak ki jo mujh ko dekhti hain
ghumte hue
subu-o-jam par tera badan tera hi rang teri nazuki
baras paDi
wo kimiya-gari tere jamal ki baras paDi
main sail-e-nur-e-andrun se dhul gaya!
mere daron ki KHalq yun gali gali nikal paDi
ki jaise subh ki azan sunai di!
tamam kuze bante bante 'tu' hi ban ke rah gae
nashat is visal-e-rah-guzar ki na-gahan mujhe nigal gai
yahi pyala-o-surahi-o-subu ka marhala hai wo
ki jab KHamir-e-ab-o-gil se wo juda hue
to un ko samt-e-rah-e-nau ki kaamraniyan milen
main ek gharib kuza-gar
ye intiha-e-marifat
ye har pyala-o-surahi-o-subu ki intiha-e-marifat
mujhe ho is ki kya KHabar?
jahan-zad
intizar aaj bhi mujhe hai kyun wahi magar
jo nau baras ke daur-e-na-saza mein tha?
ab intizar aansuon ke dajla ka
na gumrahi ki raat ka
shab-e-gunah ki lazzaton ka itna zikr kar chuka
wo KHud gunah ban gain!
halab ki karwan-sara ke hauz ka, na maut ka
na apni is shikast-KHurda zat ka
ek intizar-e-be-aman ka tar hai bandha hua!
kabhi jo chand saniye zaman-e-be-zaman mein aa ke ruk gae
to waqt ka ye bar mere sar se bhi utar gaya
tamam rafta o guzishta surton, tamam hadson
ke sust qafile
mere darun mein jag uThe
mere darun mein ek jahan-e-baz-yafta ki rel-pel jag uThi
bahisht jaise jag uThe KHuda ke la-shuur mein!
main jag uTha ghunudgi ki ret par paDa hua
ghunudgi ki ret par paDe hue wo kuze jo
mere wajud se barun
tamam reza reza ho ke rah gae the
mere apne-ap se firaq mein
wo phir se ek kul bane (kisi nawa-e-saz-gar ki tarah)
wo phir se ek raqs-e-be-zaman bane
wo ruyat-e-azal bane!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.