hashr
maiñ hairāñ huuñ
ki kis manzil meñ huuñ
mirī chāroñ taraf ik bhiiḌ sī hai
maiñ tanhā bhī nahīñ huuñ
magar tanhā.ī sī mahsūs hotī hai
to kyā ye hashr hai
sunā thā hashr hogā
saarī rūheñ ik ḳhudā hogā
yahī mauqa hisāb-o-adl kā hogā
shifā kaam aa.egī na rishta mo'atabar hogā
samajh meñ ye nahīñ aatā
ḳhudā maiñ huuñ yā ye sab haiñ
ye sab ke sab ḳhudā haiñ
aur mujh se chāhte haiñ
hisāb-e-dil hisāb-e-jāñ
hisāb rishta-e-qarz-e-garāñ
tavaqqo.a kī shuā.eñ har taraf se
merī jānib aa rahī haiñ
mujhe apnī nazar apnī samajh apnī sadā
khoī sī lagtī hai
kahīñ is ḳhaak meñ luthḌī sī lagtī hai
maiñ dhīre dhīre jaise ghaT rahā huuñ
miT rahā huuñ
ḳhudā maiñ ho nahīñ saktā
ḳhudā miTtā nahīñ hai
maiñ banda huuñ
mirā kyā hashr hogā
ye merā ḳhvāb hai yā vāqi.a hai
agar ye ḳhvāb hai to TuuT jaa.e
agar ye vāqi.a hai hashr hai to
us tavīl-o-garm din kī shaam ho jaa.e
maiñ sonā chāhtā huuñ
mukammal ḳhaak honā chāhtā huuñ
main hairan hun
ki kis manzil mein hun
meri chaaron taraf ek bhiD si hai
main tanha bhi nahin hun
magar tanhai si mahsus hoti hai
to kya ye hashr hai
suna tha hashr hoga
sari ruhen ek KHuda hoga
yahi mauqa hisab-o-adl ka hoga
shifa kaam aaegi na rishta mo'atabar hoga
samajh mein ye nahin aata
KHuda main hun ya ye sab hain
ye sab ke sab KHuda hain
aur mujh se chahte hain
hisab-e-dil hisab-e-jaan
hisab rishta-e-qarz-e-garan
tawaqqoa ki shuaen har taraf se
meri jaanib aa rahi hain
mujhe apni nazar apni samajh apni sada
khoi si lagti hai
kahin is KHak mein luthDi si lagti hai
main dhire dhire jaise ghaT raha hun
miT raha hun
KHuda main ho nahin sakta
KHuda miTta nahin hai
main banda hun
mera kya hashr hoga
ye mera KHwab hai ya waqia hai
agar ye KHwab hai to TuT jae
agar ye waqia hai hashr hai to
us tawil-o-garm din ki sham ho jae
main sona chahta hun
mukammal KHak hona chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.