hasrat-e-tamir
ye duniyā
phuul patthar aag miTTī
ret ke tūdoñ kā maskan hai
pahāḌoñ kī chaTānoñ aur Dhalānoñ
tez-rau dariyāoñ aur chashmoñ kā manzar hai
ye duniyā
nanhe-munne chāñd tāroñ kā hai gahvāra
jo mustaqbil kī nūrānī fazāoñ kī amānat haiñ
ye duniyā
ilm-o-fan science aur tahzīb kī
azmat kā maz.har hai
ye duniyā ḳhūbsūrat hai
bahut hī ḳhūbsūrat hai
magar taḳhrīb kā ik zarra atom
husn ko is ke
faqat ik lamha bhar meñ hī miTā sakne ke qābil hai
ye duniyā kaisī bad-qismat
ki is kā dushman-e-jāñ vo
jise ḳhud is ke beToñ ne banāyā hai
ye duniyā
kaash is taḳhrīb ke imkān ko yaksar miTā saktī
ye duniyā
kaash bas ta.amīr hī kā ruup ban saktī
ye duniyā
kaash phūloñ kā hasīñ manzar hī kahlātī
ye duniyā
kaash bachchoñ kī hañsī ma.asūmiyat aur phuul se chehre
hamesha ke liye mahfūz rakh saktī
ye duniyā kaash vo hotī
jise ḳhāliq ne ḳhud apne hī hāthoñ se banāyā thā
faqat ta.amīr kī ḳhātir
faqat ta.amīr kī ḳhātir
ye duniya
phul patthar aag miTTi
ret ke tudon ka maskan hai
pahaDon ki chaTanon aur Dhalanon
tez-rau dariyaon aur chashmon ka manzar hai
ye duniya
nanhe-munne chand taron ka hai gahwara
jo mustaqbil ki nurani fazaon ki amanat hain
ye duniya
ilm-o-fan science aur tahzib ki
azmat ka mazhar hai
ye duniya KHubsurat hai
bahut hi KHubsurat hai
magar taKHrib ka ek zarra atom
husn ko is ke
faqat ek lamha bhar mein hi miTa sakne ke qabil hai
ye duniya kaisi bad-qismat
ki is ka dushman-e-jaan wo
jise KHud is ke beTon ne banaya hai
ye duniya
kash is taKHrib ke imkan ko yaksar miTa sakti
ye duniya
kash bas tamir hi ka rup ban sakti
ye duniya
kash phulon ka hasin manzar hi kahlati
ye duniya
kash bachchon ki hansi masumiyat aur phul se chehre
hamesha ke liye mahfuz rakh sakti
ye duniya kash wo hoti
jise KHaliq ne KHud apne hi hathon se banaya tha
faqat tamir ki KHatir
faqat tamir ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.