hassas
āḳhir vo
kis kī ġhalatī thī
us būḌhe kī
conductor kī
yā phir us bus ke driver kī
jis kī bhī ho
lekin is meñ
merā to koī dosh nahīñ thā
maiñ to baaqī
sab logoñ kī tarah
musāfir thā us bas kā
jis ke nīche
kahīñ achānak se
vo būḌhā aa jaatā hai
us ko
bus ke
nīche aate bhī to na dekhā thā maiñ ne
vo to bus ke
brake se merī
niiñd khulī aur
shor samā.at se Takrāyā
tab khiḌkī se jhāñkā thā maiñ
idhar udhar
bikhrī
sabzī ke
ird-gird
vo dhaar
lahū kī
saañp surekhā
reñg rahī thī
aur gale meñ
shāyad us ke
chīḳh kahīñ par phañsī huī thī
is manzar meñ
seat se apnī
hil tak na paayā thā maiñ to
hil kar bhī
ab honā kyā thā
āḳhir maiñ kar kyā saktā thā
phir kyoñ
mujh ko
niiñd nahīñ aatī us din se
khānā khāne
baiThtā huuñ to
us būḌhe kā
karbnāk vo
lahū ugalne vaalā chehra
sāmne mere aa jaatā hai
aur phir
us ke baa'd
nivāla
mire gale se
ulTī ban bāhar aatā hai
aur
maañs ko
phaaḌ ke
bāhar niklī
us būḌhe kī haDDī
mere dil meñ dhañs jaatī haiñ
kyoñ nā-karda jurm kā ye ehsās mire andar baiThā hai
kyā us ko maiñ ne maarā hai
us kī maut mirī ġhalatī hai
thoḌā bhī
hassās nahīñ hotā hai koī
logoñ ko
ehsās nahīñ hotā hai koī
mujh se sab
bas ye kahte haiñ
log to
marte hī rahte haiñ
kaun bhalā parvā kartā hai
tum hī
ḳhud ko qaid kiye ho us manzar meñ
us manzar se
bāhar aao
miTTī Daalo
dhuāñ uḌaao
lekin
maiñ kaise
samjhā.ūñ
ki us kā
aaseb mire
ḳhvāboñ meñ aa kar
roz yahī kahtā rahtā hai
mujh par ye ehsāñ karvā do
ghar par mere
biivī bachche
bhūke hoñge
un tak vo sabzī bhijvā do
aaKHir wo
kis ki ghalati thi
us buDhe ki
conductor ki
ya phir us bus ke driwer ki
jis ki bhi ho
lekin is mein
mera to koi dosh nahin tha
main to baqi
sab logon ki tarah
musafir tha us bas ka
jis ke niche
kahin achanak se
wo buDha aa jata hai
us ko
bus ke
niche aate bhi to na dekha tha main ne
wo to bus ke
brake se meri
nind khuli aur
shor samaat se Takraya
tab khiDki se jhanka tha main
idhar udhar
bikhri
sabzi ke
ird-gird
wo dhaar
lahu ki
sanp surekha
reng rahi thi
aur gale mein
shayad us ke
chiKH kahin par phansi hui thi
is manzar mein
seat se apni
hil tak na paya tha main to
hil kar bhi
ab hona kya tha
aaKHir main kar kya sakta tha
phir kyon
mujh ko
nind nahin aati us din se
khana khane
baiThta hun to
us buDhe ka
karbnak wo
lahu ugalne wala chehra
samne mere aa jata hai
aur phir
us ke ba'd
niwala
mere gale se
ulTi ban bahar aata hai
aur
mans ko
phaD ke
bahar nikli
us buDhe ki haDDi
mere dil mein dhans jati hain
kyon na-karda jurm ka ye ehsas mere andar baiTha hai
kya us ko main ne mara hai
us ki maut meri ghalati hai
thoDa bhi
hassas nahin hota hai koi
logon ko
ehsas nahin hota hai koi
mujh se sab
bas ye kahte hain
log to
marte hi rahte hain
kaun bhala parwa karta hai
tum hi
KHud ko qaid kiye ho us manzar mein
us manzar se
bahar aao
miTTi Dalo
dhuan uDao
lekin
main kaise
samjhaun
ki us ka
aaseb mere
KHwabon mein aa kar
roz yahi kahta rahta hai
mujh par ye ehsan karwa do
ghar par mere
biwi bachche
bhuke honge
un tak wo sabzi bhijwa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.