hatheli ka chand
zindagī ke in ghaTā-Top añdheroñ meñ
jab haath ko haath sujhā.ī nahīñ detā thā
na jaane kaun thā vo
jo is ajnabī saḌak par mujhe tanhā chhoḌ gayā
aur maiñ apnī sard hathelī par
taqdīr kī lakīr talāsh kartī rahī
ġhaur se dekhā to andāza huā
ab hathelī kī saleT se har lakīr miT chukī thī
aur ab maiñ apnī zindagī ke ḳharābe meñ
tanhā khaḌī thī
aur phir yuuñ huā
maiñ ne kuchh soch kar
apnī hathelī par terā naam likhā aur use chuum liyā
dekhte hī dekhte
mere man ke āñgan meñ ek charāġh raushan ho gayā
ai merī taqdīr ke chāñd
ab maiñ terā chehra dekh saktī huuñ
zindagi ke in ghaTa-Top andheron mein
jab hath ko hath sujhai nahin deta tha
na jaane kaun tha wo
jo is ajnabi saDak par mujhe tanha chhoD gaya
aur main apni sard hatheli par
taqdir ki lakir talash karti rahi
ghaur se dekha to andaza hua
ab hatheli ki saleT se har lakir miT chuki thi
aur ab main apni zindagi ke KHarabe mein
tanha khaDi thi
aur phir yun hua
main ne kuchh soch kar
apni hatheli par tera nam likha aur use chum liya
dekhte hi dekhte
mere man ke aangan mein ek charagh raushan ho gaya
ai meri taqdir ke chand
ab main tera chehra dekh sakti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.