hatheli
ek pattā girā
tū ne aañsū bharī tund gaalī se jis kā svāgat kiyā
ek pattā girā
ḳhushk hoñToñ par apnī zabāñ pher kar
tū ne ik baar phir apnī banjar hathelī ko aage kiyā
ek pattā girā
laal sūraj
jo din phir pake seb ke ruup meñ
tere sar par laTaktī huī
bāñjh shāḳhoñ ke jhūle se chipkā rahā
ab kahāñ hai
vo rañgoñ kā tūfāñ
tujhe jis kī ḳhātir hathelī kī banjar zamīñ ko sajānā paḌā
ab kahāñ hai
laraztā huā laal sūraj to kaale samundar kī jholī meñ gir bhī chukā
lo vo pattā girā
ek patta gira
tu ne aansu bhari tund gali se jis ka swagat kiya
ek patta gira
KHushk honTon par apni zaban pher kar
tu ne ek bar phir apni banjar hatheli ko aage kiya
ek patta gira
lal suraj
jo din phir pake seb ke rup mein
tere sar par laTakti hui
banjh shaKHon ke jhule se chipka raha
ab kahan hai
wo rangon ka tufan
tujhe jis ki KHatir hatheli ki banjar zamin ko sajaana paDa
ab kahan hai
larazta hua lal suraj to kale samundar ki jholi mein gir bhi chuka
lo wo patta gira
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.