Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ab chal paDi hai

Kamran Nafees

hawa ab chal paDi hai

Kamran Nafees

MORE BYKamran Nafees

    saltanat ke zang-ḳhurda āhanī mahbas meñ ik ḳhilqat chhupī hai

    beḌiyoñ aur beḌiyoñ se eḌiyoñ par paḌne vaale zaḳhm aadī

    ye ik bīmār ḳhilqat

    āhanī kanTop se sar ko Dhake

    mahbas dīvāroñ pe apne nāḳhunoñ se

    aaḌī TeḌhī tirchhī lakīreñ khurachtī

    shaah tausīf meñ ġhaltāñ

    razā raġhbat se shadd-o-mad se masrūf-e-amal hai

    aur agar taaza havā koī jhoñkā

    jab kabhī mahbas meñ dar aa.e

    to ye ḳhilqat bilaktī sarsarātī marī āvāz meñ

    sargoshiyoñ meñ

    muḳhbirī kartī hai in taaza havāoñ

    pas-e-zindāñ sipāhī

    zang-ḳhurda āhanī mahbas dīvāroñ se

    apne kaan joḌe muḳhbirī ke muntazir

    taaza havā ke narm jhoñke giraftārī raqam karne ko bas tayyār baiThe haiñ

    ḳhabar de do

    havā ko qaid karnā is qadar āsāñ nahīñ hai

    ye agar chaltī hai to

    koh-e-girāñ ko kaaT detī hai

    kisī dīmak-zada būḌhe shajar ko

    us jaḌ se uThā kar pheñk detī hai

    havā tūfān ban jaa.e to sab kuchh ḳhas-o-ḳhāshāk kartī hai

    ḳhabar de do

    havā ab chal paḌī hai

    saltanat ke āhanī mahbas ke qaidī

    muḳhbirī karne meñ pīchhe rah ga.e haiñ

    aur giraftārī ke ḳhvāhish-mand

    vo saare sipāhī thak chuke haiñ

    āhanī mahbas dīvāroñ meñ raḳhne ho chuke haiñ

    aur havā sargoshiyoñ se

    tez-tar atrāf meñ had-e-nazar tak

    ab musalsal phailtī rahī hai

    .

    ye ḳhabar de do

    havā ko qaid karnā is qadar āsāñ nahīñ hai

    havā ab chal paḌī hai

    saltanat ke zang-KHurda aahani mahbas mein ek KHilqat chhupi hai

    beDiyon aur beDiyon se eDiyon par paDne wale zaKHm ki aadi

    ye ek bimar KHilqat

    aahani kanTop se sar ko Dhake

    mahbas ki diwaron pe apne naKHunon se

    aaDi TeDhi tirchhi lakiren khurachti

    shah ki tausif mein ghaltan

    raza raghbat se shadd-o-mad se masruf-e-amal hai

    aur agar taza hawa ka koi jhonka

    jab kabhi mahbas mein dar aae

    to ye KHilqat bilakti sarsaraati si mari aawaz mein

    sargoshiyon mein

    muKHbiri karti hai in taza hawaon ki

    pas-e-zindan sipahi

    zang-KHurda aahani mahbas ki diwaron se

    apne kan joDe muKHbiri ke muntazir

    taza hawa ke narm jhonke ki giraftari raqam karne ko bas tayyar baiThe hain

    KHabar de do

    hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai

    ye agar chalti hai to

    koh-e-giran ko kaT deti hai

    kisi dimak-zada buDhe shajar ko

    us ki jaD se hi uTha kar phenk deti hai

    hawa tufan ban jae to sab kuchh hi KHas-o-KHashak karti hai

    KHabar de do

    hawa ab chal paDi hai

    saltanat ke aahani mahbas ke qaidi

    muKHbiri karne mein pichhe rah gae hain

    aur giraftari ke KHwahish-mand

    wo sare sipahi thak chuke hain

    aahani mahbas ki diwaron mein raKHne ho chuke hain

    aur hawa sargoshiyon se

    tez-tar atraf mein had-e-nazar tak

    ab musalsal phailti hi ja rahi hai

    ye KHabar de do

    hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai

    hawa ab chal paDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now