hawa band hai
Interesting Fact
(October, 2000)
havā band hai
saañs aatī nahīñ
is-qadar shor hai
koī āvāz kānoñ meñ aatī nahīñ
kab se taaza gulāboñ kī shāḳhoñ pe
kaliyoñ ko khilne kī mohlat nahīñ mil rahī
shahr meñ tum bhī ho ham bhī haiñ
phir bhī donoñ ko milne kī fursat nahīñ mil rahī
sab ke sab jabr kī hālatoñ meñ jiye jā rahe haiñ
kisī ko bhī apnī mohabbat nahīñ mil rahī
havā band hai saañs aatī nahīñ
is-qadar shor hai
koī āvāz kānoñ meñ aatī nahīñ
hawa band hai
sans aati nahin
is-qadar shor hai
koi aawaz kanon mein aati nahin
kab se taza gulabon ki shaKHon pe
kaliyon ko khilne ki mohlat nahin mil rahi
shahr mein tum bhi ho hum bhi hain
phir bhi donon ko milne ki fursat nahin mil rahi
sab ke sab jabr ki haalaton mein jiye ja rahe hain
kisi ko bhi apni mohabbat nahin mil rahi
hawa band hai sans aati nahin
is-qadar shor hai
koi aawaz kanon mein aati nahin
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 571)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.