hawa hamare kis kaam ki
havā merī baat nahīñ samajhtī
havā tumhārī baat nahīñ samajhtī
havā ham donoñ se hamārī baat nahīñ kartī
hamāre lafz us kī samā.at se
phisal jaate haiñ
vo be-ma.anī āñkhoñ se hameñ dekhtī rahtī hai
maiñ un kā haal kaise jānūñ
unheñ apnā haal kaise batā.ūñ
jin ke ghar vīrān haiñ
jin kī sub.heñ rañg se ḳhālī
aur rāteñ chāñdnī se mahrūm haiñ
jin kī khiḌkiyoñ par bhārī parde paḌe haiñ
aur darvāzoñ par taale
lekin havā ye bāteñ nahīñ samajhtī
vo to ḳhālī haath aatī jaatī hai
aur ḳhālī haath aane
aur ḳhālī haath jaane vāloñ se
hameñ kyā lenā
hawa meri baat nahin samajhti
hawa tumhaari baat nahin samajhti
hawa hum donon se hamari baat nahin karti
hamare lafz us ki samaat se
phisal jate hain
wo be-mani aankhon se hamein dekhti rahti hai
main un ka haal kaise jaanun
unhen apna haal kaise bataun
jin ke ghar viran hain
jin ki subhen rang se KHali
aur raaten chandni se mahrum hain
jin ki khiDkiyon par bhaari parde paDe hain
aur darwazon par tale
lekin hawa ye baaten nahin samajhti
wo to KHali hath aati jati hai
aur KHali hath aane
aur KHali hath jaane walon se
hamein kya lena
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 146)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.