hawa har ek samt bah rahi hai
havā har ik samt bah rahī hai
jilau meñ kūche makān le kar
safar ke be-ant pāniyoñ kī thakān le kar
jo aañkh ke ijz se pare haiñ
unhī zamānoñ kā gyaan le kar
tire ilāqe kī sarhadoñ ke nishān le kar
havā har ik samt bah rahī hai
zamīn chup
āsmān vus.at meñ kho gayā hai
fazā sitāroñ kī fasl se lahlhā rahī hai
makāñ makīnoñ kī āhaToñ se dhaḌak rahe haiñ
jhuke jhuke nam-zada darīchoñ meñ
aañkh koī rukī huī hai
fasīl-e-shahr-e-murād par
nā-murād aahaT aTak ga.ī hai
ye ḳhaak terī mirī sadā ke dayār meñ
phir bhaTak ga.ī hai
dayār shām-o-sahar ke andar
nigār-e-dasht-o-shajar ke andar
savād-e-jān-o-nazar ke andar
ḳhamoshī bahr-o-bar ke andar
ridā-e-sub.h-e-ḳhabar ke andar
aziyyat roz-o-shab meñ
hone kī zillatoñ meñ niDhāl sub.hoñ kī
os meñ bhīgtī ThiThurtī
ḳhamoshiyoñ ke bhañvar ke andar
diloñ se bāhar
diloñ ke andar
havā har ik samt bah rahī hai
hawa har ek samt bah rahi hai
jilau mein kuche makan le kar
safar ke be-ant paniyon ki thakan le kar
jo aankh ke ijz se pare hain
unhi zamanon ka gyan le kar
tere ilaqe ki sarhadon ke nishan le kar
hawa har ek samt bah rahi hai
zamin chup
aasman wusat mein kho gaya hai
faza sitaron ki fasl se lahlha rahi hai
makan makinon ki aahaTon se dhaDak rahe hain
jhuke jhuke nam-zada darichon mein
aankh koi ruki hui hai
fasil-e-shahr-e-murad par
na-murad aahaT aTak gai hai
ye KHak teri meri sada ke dayar mein
phir bhaTak gai hai
dayar sham-o-sahar ke andar
nigar-e-dasht-o-shajar ke andar
sawad-e-jaan-o-nazar ke andar
KHamoshi bahr-o-bar ke andar
rida-e-subh-e-KHabar ke andar
aziyyat roz-o-shab mein
hone ki zillaton mein niDhaal subhon ki
os mein bhigti ThiThurti
KHamoshiyon ke bhanwar ke andar
dilon se bahar
dilon ke andar
hawa har ek samt bah rahi hai
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 45)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.