hawa
havā mausam kī raqqāsa
pahan kar paañv meñ pattoñ ke ghuñghrū
Doltī jaa.e
kabhī uñglī pakaḌ kar bādaloñ kī jhuum kar gaa.e
kabhī bārish kī chādar oḌh kar
āñgan bhigo jaa.e
kisī ma.asūm laḌkī kā kabhī āñchal uḌā jaa.e
havā mausam kī raqqāsa
kabhī kaliyoñ ke ruḳhsāroñ pe
bose le sharārat se
kabhī khilte hue phūloñ kī shāḳhoñ
se judā kar de
kabhī laḌnā pahāḌoñ se
charāġhoñ se kabhī Takkar
yahī kashtī Dubo detī hai aksar lā ke sāhil par
havā mausam kī raqqāsa
chale jab sansanātī bachpanā āñchal meñ chhup jaa.e
bane bād-e-sabā jab bhī to ḳhushbueñ churā laa.e
kabhī ḳhushiyoñ kī lai par raqs kartī
ye nazar aa.e
kabhī TuuTī huī shahnā.iyoñ meñ siskiyāñ ban kar utar jaa.e
siyah-rātoñ meñ āñchal chāñdnī kā
DhūñDne nikle
bharī barsāt meñ bijlī se darpan māñgne nikle
havā mausam kī raqqāsa
agar ye thak ga.ī insān jiinā bhuul jā.egā
agar ye ruk ga.ī bādal barasnā bhuul jā.egā
duā ye hai na thakne paa.eñ is ke ye thirakte paañv
rahe ye raqs meñ mashġhūl sub.h-o-shām
havā mausam kī raqqāsa
hawa mausam ki raqqasa
pahan kar panw mein patton ke ghunghru
Dolti jae
kabhi ungli pakaD kar baadalon ki jhum kar gae
kabhi barish ki chadar oDh kar
aangan bhigo jae
kisi masum laDki ka kabhi aanchal uDa jae
hawa mausam ki raqqasa
kabhi kaliyon ke ruKHsaron pe
bose le shararat se
kabhi khilte hue phulon ki shaKHon
se juda kar de
kabhi laDna pahaDon se
charaghon se kabhi Takkar
yahi kashti Dubo deti hai aksar la ke sahil par
hawa mausam ki raqqasa
chale jab sansanati bachpana aanchal mein chhup jae
bane baad-e-saba jab bhi to KHushbuen chura lae
kabhi KHushiyon ki lai par raqs karti
ye nazar aae
kabhi TuTi hui shahnaiyon mein siskiyan ban kar utar jae
siyah-raaton mein aanchal chandni ka
DhunDne nikle
bhari barsat mein bijli se darpan mangne nikle
hawa mausam ki raqqasa
agar ye thak gai insan jina bhul jaega
agar ye ruk gai baadal barasna bhul jaega
dua ye hai na thakne paen is ke ye thirakte panw
rahe ye raqs mein mashghul subh-o-sham
hawa mausam ki raqqasa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.