hawa jab tez chalti hai
havā jab tez chaltī hai
shikasta ḳhvāb jab maTiyāle rastoñ par
murād-e-amn pakaḌte haiñ
jhukī shāḳhoñ ke hoñToñ par
kisī bhūle hue naġhme kī tāneñ
jab ulaTtī haiñ
guzishta vahm kī āñkheñ mire siine meñ girtī haiñ
sitāre jab larazte haiñ
mirī āñkhoñ kī sarhad par
ufuq dhuñd laane lagtā hai
mahak aate dinoñ kī phail jaatī hai
mashām-e-jāñ meñ ik muñh-zor ḳhvāhish
maut ban kar jāgtī hai jab
guzishta vahm kī āñkheñ mire siine meñ girtī haiñ
gale jab vaqt milte haiñ
tire mere zamānoñ ke parinde
uḌne lagte haiñ
sahar jab dhīmī dhīmī dastakoñ meñ
niiñd kī jholī meñ girtī hai
maiñ tere haath
ḳhvāboñ ke phisalte lams par mahsūs kartā huuñ
tire hoñToñ kī larzish
mujh se ruḳhsat meñ lipaTtī hai
maiñ tujh ko dekh saktā huuñ
mujhe phir mil sakegā vāhima
jis qaid meñ aa kar
mirī umreñ sañvartī haiñ
vo mausam jis meñ tere naam kī ḳhushbū
mirī sāñseñ bhigotī hai
vahī ik shaam
jis āñchal meñ mirā dil dhaḌaktā hai
vahī ik zindagī jis meñ
guzishta vahm kī āñkheñ mire siine meñ girtī haiñ
hawa jab tez chalti hai
shikasta KHwab jab maTiyale raston par
murad-e-amn pakaDte hain
jhuki shaKHon ke honTon par
kisi bhule hue naghme ki tanen
jab ulaTti hain
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
sitare jab larazte hain
meri aankhon ki sarhad par
ufuq dhund lane lagta hai
mahak aate dinon ki phail jati hai
masham-e-jaan mein ek munh-zor KHwahish
maut ban kar jagti hai jab
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
gale jab waqt milte hain
tere mere zamanon ke parinde
uDne lagte hain
sahar jab dhimi dhimi dastakon mein
nind ki jholi mein girti hai
main tere hath
KHwabon ke phisalte lams par mahsus karta hun
tere honTon ki larzish
mujh se ruKHsat mein lipaTti hai
main tujh ko dekh sakta hun
mujhe phir mil sakega wahima
jis qaid mein aa kar
meri umren sanwarti hain
wo mausam jis mein tere nam ki KHushbu
meri sansen bhigoti hai
wahi ek sham
jis aanchal mein mera dil dhaDakta hai
wahi ek zindagi jis mein
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 102)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.