hawa kahti rahi aao
havā kahtī rahī aao
chalo us shāḳh ko chhū leñ
idhar us peḌ ke pattoñ meñ chhup kar tāliyāñ pīTeñ
gireñ uTheñ luḌhak kar nahr meñ utreñ nahā.eñ
maḳhmalīñ sabze ye nañge paañv chal kar duur tak jaa.eñ
havā kahtī rahī aao
magar maiñ ḳhushk chhāgal apne dāñtoñ meñ dabā.e
pyaas kī barham sipah se laḌ rahā thā maiñ kahāñ jaatā
mujhe sūraj ke rath se ātishīñ tīroñ kā aanā
aur chhāgal se humak kar aab kā girnā
kisī bachche kā ronā aur paanī māñgnā bhūlā nahīñ thā maiñ kahāñ jaatā
maiñ apne haath kī ubhrī ragoñ meñ qaid
apnī aañkh kī taptī huī ḳhāk-e-siyah meñ jazb thā yaksar
mujhe ik jur.a-e-āb safā darkār thā aur mere bachche ne
sadā dī thī mujhe aao ḳhudārā ab to aa jaao
ki mere hoñT ab phaT bhī chuke
āñkhoñ kā amrit suukh kar bādal banā uḌ bhī gayā
havā kahtī rahī aao
ye bandhan toḌ do pyāre
magar meñ haath kī ubhrī ragoñ meñ qaid
apnī aañkh kī taptī huī ḳhāk-e-siyah meñ jazb kyā kartā
kahāñ jaatā
hawa kahti rahi aao
chalo us shaKH ko chhu len
idhar us peD ke patton mein chhup kar taliyan piTen
giren uThen luDhak kar nahr mein utren nahaen
maKHmalin sabze ye nange panw chal kar dur tak jaen
hawa kahti rahi aao
magar main KHushk chhagal apne danton mein dabae
pyas ki barham sipah se laD raha tha main kahan jata
mujhe suraj ke rath se aatishin tiron ka aana
aur chhagal se humak kar aab ka girna
kisi bachche ka rona aur pani mangna bhula nahin tha main kahan jata
main apne hath ki ubhri ragon mein qaid
apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb tha yaksar
mujhe ek jura-e-ab safa darkar tha aur mere bachche ne
sada di thi mujhe aao KHudara ab to aa jao
ki mere honT ab phaT bhi chuke
aankhon ka amrit sukh kar baadal bana uD bhi gaya
hawa kahti rahi aao
ye bandhan toD do pyare
magar mein hath ki ubhri ragon mein qaid
apni aankh ki tapti hui KHak-e-siyah mein jazb kya karta
kahan jata
- Book : Nirdbaan (Pg. 49)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.