Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa kahti rahi aao

Wazir Agha

hawa kahti rahi aao

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    Interesting Fact

    (Sher-o-Hikmat, Hyderabad)

    havā kahtī rahī aao

    chalo us khet ko chhū leñ

    udhar is peḌ ke pattoñ meñ chhup kar tāliyāñ pīTeñ

    gireñ uTTheñ luḌhak kar nahr meñ utreñ nahā.eñ

    maḳhmalīñ sabze pe nange paañv chal kar duur tak jaa.eñ

    havā kahtī rahī aao

    magar maiñ ḳhushk chhāgal apne dāñtoñ meñ dabā.e

    pyaas barham sipah se laḌ rahā thā maiñ kahāñ jaatā

    mujhe sūraj ke rath se ātishīñ tīroñ aanā

    aur chhāgal se humak kar aab girnā

    kisī bachche ronā aur paanī māñgnā bhūlā nahīñ thā maiñ kahāñ jaatā

    maiñ apne haath par ubhrī ragoñ meñ qaid

    apnī aañkh taptī huī reg-e-ravāñ meñ jazb thā yaksar

    mujhe ik jur.a-e-āb-e-safā darkār thā aur mere bachche ne

    sadā thī mujhe aao ḳhudārā ab to aa jaao

    ki mere hoñT ab phaT bhī chuke

    āñkhoñ amrit suukh kar bādal banā uḌ bhī gayā

    havā kahtī rahī aao

    ye bandhan toḌ do pyāre

    magar maiñ haath par ubhrī ragoñ meñ qaid

    apnī aañkh taptī huī reg-e-ravāñ meñ jazb kyā kartā

    kahāñ jaatā

    hawa kahti rahi aao

    chalo us khet ko chhu len

    udhar is peD ke patton mein chhup kar taliyan piTen

    giren uTThen luDhak kar nahr mein utren nahaen

    maKHmalin sabze pe nange panw chal kar dur tak jaen

    hawa kahti rahi aao

    magar main KHushk chhagal apne danton mein dabae

    pyas ki barham sipah se laD raha tha main kahan jata

    mujhe suraj ke rath se aatishin tiron ka aana

    aur chhagal se humak kar aab ka girna

    kisi bachche ka rona aur pani mangna bhula nahin tha main kahan jata

    main apne hath par ubhri ragon mein qaid

    apni aankh ki tapti hui reg-e-rawan mein jazb tha yaksar

    mujhe ek jura-e-ab-e-safa darkar tha aur mere bachche ne

    sada di thi mujhe aao KHudara ab to aa jao

    ki mere honT ab phaT bhi chuke

    aankhon ka amrit sukh kar baadal bana uD bhi gaya

    hawa kahti rahi aao

    ye bandhan toD do pyare

    magar main hath par ubhri ragon mein qaid

    apni aankh ki tapti hui reg-e-rawan mein jazb kya karta

    kahan jata

    Source :
    • Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 16)
    • Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
    • Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
    • Edition : 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now