hawa ke dosh pe
vo Dher kāñch kā thā
kisī ne raakh samajh kar jise TaTolā thā
ajiib rañg the raqsāñ nigāh ke aage
hathelī risne lagī to gumān sā guzrā
kahīñ ye ḳhuun ke chhīñToñ kī surḳhiyāñ to nahīñ
magar vo dard kahāñ hai jo sukh nigaltā hai
jo jism-o-jān meñ utrā hai ab thakan ban kar
kahīñ se āh-o-bukā kī sadā.eñ aatī haiñ
ye niim añdherā baḌā karbnāk lagtā hai
bujhe hue vo sharāre haiñ yā koī aahū
palaT ke dekh to le
raakh rañj kāñch
kahīñ chubh na jaa.eñ āñkhoñ meñ
ye vaqt jis ke palaTne kī aarzū le kar
havā ke dosh pe aaheñ uḌaa.e jaatā hai
wo Dher kanch ka tha
kisi ne rakh samajh kar jise TaTola tha
ajib rang the raqsan nigah ke aage
hatheli risne lagi to guman sa guzra
kahin ye KHun ke chhinTon ki surKHiyan to nahin
magar wo dard kahan hai jo sukh nigalta hai
jo jism-o-jaan mein utra hai ab thakan ban kar
kahin se aah-o-buka ki sadaen aati hain
ye nim andhera baDa karbnak lagta hai
bujhe hue wo sharare hain ya koi aahu
palaT ke dekh to le
rakh ranj kanch
kahin chubh na jaen aankhon mein
ye waqt jis ke palaTne ki aarzu le kar
hawa ke dosh pe aahen uDae jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.