hawa ki pusht par
huā kī pusht pe kitne nuqūsh kanda haiñ
kahīñ nafas kī lakīreñ
kahīñ bisāt-e-hunar
hayāt o maut ke partav
alam kī parchhā.īñ
lahū ke rañg meñ Duubā huā falak kā dhuāñ
kabhī zamīn kā dāman ġhubār-ālūda
kabhī garajtā huā sail-e-be-karāñ larzāñ
misāl-e-harf-e-tamannā ye naqsh miT na sake
havā kī pusht pe kab se nuqūsh kanda haiñ
hua ki pusht pe kitne nuqush kanda hain
kahin nafas ki lakiren
kahin bisat-e-hunar
hayat o maut ke partaw
alam ki parchhain
lahu ke rang mein Duba hua falak ka dhuan
kabhi zamin ka daman ghubar-aluda
kabhi garajta hua sail-e-be-karan larzan
misal-e-harf-e-tamanna ye naqsh miT na sake
hawa ki pusht pe kab se nuqush kanda hain
- Book : Inkaar(2) (Pg. 148)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.