hawa ko aawara kahne walo
havā ko āvāra kahne vaalo
kabhī to socho, kabhī to likkho
havā.eñ kyuuñ apnī manziloñ se bhaTak ga.ī haiñ
na un kī āñkhoñ meñ ḳhvāb koī
na ḳhvāb meñ intizār koī
ab un ke saare safar meñ sub.h-e-yaqīn koī
na shām-e-sad-e'tibār koī
na un kī apnī zamīn koī na āsmāñ par koī sitāra
na koī mausam na koī ḳhushbū kā isti.āra
na raushnī kī lakīr koii, na un kā apnā safīr koī
jo un ke dukh par kitāb likkhe
musāfirat kā azaab likhe
havā ko āvāra kahne vaalo
kabhī to socho!
hawa ko aawara kahne walo
kabhi to socho, kabhi to likkho
hawaen kyun apni manzilon se bhaTak gai hain
na un ki aankhon mein KHwab koi
na KHwab mein intizar koi
ab un ke sare safar mein subh-e-yaqin koi
na sham-e-sad-e'tibar koi
na un ki apni zamin koi na aasman par koi sitara
na koi mausam na koi KHushbu ka istiara
na raushni ki lakir koi, na un ka apna safir koi
jo un ke dukh par kitab likkhe
musafirat ka azab likhe
hawa ko aawara kahne walo
kabhi to socho!
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.