hawa lauTe to puchhen
roz-o-shab kā vaqfa karb-o-musarrat
shaam kahte haiñ jise
kyūñkar guzāreñ
qarz sāñsoñ kā utāreñ yā ruḳh-e-hastī
nikhāreñ
kaun hai dil ke sivā us karb-e-rāz-e-pīkarāñ
maiñ apne saath
ab kise āvāz deñ kis ko pukāreñ
shām-bhar kī fursat-e-ġham yuuñ guzāreñ
dhuul meñ aTe hue ik rāste par ek
goshe ke ḳhalā meñ kā.enāt ābād hai ik
chā.e-ḳhāne kī jahāñ din Dhalte aa.e din
havā-e-shām mezoñ kursiyoñ kī dā.era
dar dā.era shāḳhoñ meñ phailā ik shajar-e-ġham
kā ugā detī hai
jis ke saa.e meñ bikhre hue pattoñ kī sūrat
saare din kī sañg-bārī se shikasta
reza reza ā.īne bikhre hue milte haiñ
jin ke saare zaḳhmī aks apnī ruuh ke
apnī anā ke ārzuoñ ḳhvāhishoñ
mahrūmiyoñ aur hasratoñ ke ujḌe aalam haiñ
vahī hai rahguzar pathrīlī sāñsoñ kī vahī
biptā vahī ham haiñ
vahī hai zindagī
is tund-ḳhū bezār būḌhe kī tarah
jo apne māthe par shikan Daale ḳhafā baiThā hai sab se
aur sab meñ
chaa.e ke kaḌve kasīle ghūñT pyāloñ meñ uñDele
bāñTtā hai
aur har pyāle meñ us ke māthe kī taaza shikan kā aks hai
ye zindagī
har shaam us būḌhe kī mānind apnā melā aks dohrātī hai
aur ye zindagī
ik tez-pā maġhrūr motor-kār kī sūrat ḳhas-o-ḳhāshāk
ke bādal uḌātī aur hamāre chashm-o-sar meñ jhoñktī hai
ham chale aate haiñ phir bhī shaam ke us dast meñ jis ke
musāfir har tarah ke log haiñ
kuchh log jo ik chaa.e kī pyālī se aane vaale din kī
kāmrānī kā
munavvar aks le jaate haiñ jin kī guftugū hī besh-o-kam ke fikr se
aage nahīñ baḌhtī
roz-o-shab ka waqfa karb-o-musarrat
sham kahte hain jise
kyunkar guzaren
qarz sanson ka utaren ya ruKH-e-hasti
nikhaaren
kaun hai dil ke siwa us karb-e-raaz-e-pikaran
main apne sath
ab kise aawaz den kis ko pukaren
sham-bhar ki fursat-e-gham yun guzaren
dhul mein aTe hue ek raste par ek
goshe ke KHala mein kaenat aabaad hai ek
chae-KHane ki jahan din Dhalte aae din
hawa-e-sham mezon kursiyon ki daera
dar daera shaKHon mein phaila ek shajar-e-gham
ka uga deti hai
jis ke sae mein bikhre hue patton ki surat
sare din ki sang-bari se shikasta
reza reza aaine bikhre hue milte hain
jin ke sare zaKHmi aks apni ruh ke
apni ana ke aarzuon KHwahishon
mahrumiyon aur hasraton ke ujDe aalam hain
wahi hai rahguzar pathrili sanson ki wahi
bipta wahi hum hain
wahi hai zindagi
is tund-KHu bezar buDhe ki tarah
jo apne mathe par shikan Dale KHafa baiTha hai sab se
aur sab mein
chae ke kaDwe kasile ghunT pyalon mein unDele
banTta hai
aur har pyale mein us ke mathe ki taza shikan ka aks hai
ye zindagi
har sham us buDhe ki manind apna mela aks dohraati hai
aur ye zindagi
ek tez-pa maghrur motor-kar ki surat KHas-o-KHashak
ke baadal uDati aur hamare chashm-o-sar mein jhonkti hai
hum chale aate hain phir bhi sham ke us dast mein jis ke
musafir har tarah ke log hain
kuchh log jo ek chae ki pyali se aane wale din ki
kaamrani ka
munawwar aks le jate hain jin ki guftugu hi besh-o-kam ke fikr se
aage nahin baDhti
- Book : Pakistani Adab (Pg. 144)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.