hawa meri raaz-dan nahin hai
havā mirī rāz-dāñ nahīñ hai
ki chatar is kā
hazār sāyoñ pe mehrbāñ hai
karoḌoñ logoñ ke soz-e-anfās kā dhuāñ hai
havā faqat us nahīf lamhe kī dāstāñ hai
ki jis kā aalam guzishtanī hai
jo ik nafas kā hī mehmāñ hai
havā hī saarī mahak ugaltī huī bahāroñ kī tarjumāñ hai
hamāre andar chhupe vajūdoñ
subuk masāmoñ kī rāz-dāñ hai
guzarte jismoñ ko nashr kartī huī havā rāz-dāñ nahīñ hai
magar havā tere mere ḳhvāboñ ke darmiyāñ saañs
phūñktī hai
hamārī sāñsoñ kī Doriyoñ ko
hamāre jismoñ se joḌtī hai
hamāre tāñbe hamāre pītal hamāre sab sāgvān chehre
hamāre apnoñ ke tan kī ThanDī mahak ke ġhāze se
Dhāñptī hai
mirā havā se faqat yahī ek rābta hai
use mirā rāz-dāñ na kahnā
havā se apne azāb-e-lamhāt kī koī dāstāñ na kahnā
hawa meri raaz-dan nahin hai
ki chatar is ka
hazar sayon pe mehrban hai
karoDon logon ke soz-e-anfas ka dhuan hai
hawa faqat us nahif lamhe ki dastan hai
ki jis ka aalam guzishtani hai
jo ek nafas ka hi mehman hai
hawa hi sari mahak ugalti hui bahaaron ki tarjuman hai
hamare andar chhupe wajudon
subuk masamon ki raaz-dan hai
guzarte jismon ko nashr karti hui hawa raaz-dan nahin hai
magar hawa tere mere KHwabon ke darmiyan sans
phunkti hai
hamari sanson ki Doriyon ko
hamare jismon se joDti hai
hamare tanbe hamare pital hamare sab sagwan chehre
hamare apnon ke tan ki ThanDi mahak ke ghaze se
Dhanpti hai
mera hawa se faqat yahi ek rabta hai
use mera raaz-dan na kahna
hawa se apne azab-e-lamhat ki koi dastan na kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.