hawa sard hai
havā sard hai
rāste kā diyā zard hai
har taraf dhund hai
gard hai
duur se jo chalā aa rahā hai
vo saaya hai lekin
na jaane vo aurat hai
yā mard hai
maiñ darīche meñ
tanhā khaḌā sochtā huuñ
raat ke paas mere liye kyā hai
an-jānī ḳhushiyāñ haiñ yā
kal kā baasī purānā
phaphūñdī lagā dard hai
havā sard hai
hawa sard hai
raste ka diya zard hai
har taraf dhund hai
gard hai
dur se jo chala aa raha hai
wo saya hai lekin
na jaane wo aurat hai
ya mard hai
main dariche mein
tanha khaDa sochta hun
raat ke pas mere liye kya hai
an-jaani KHushiyan hain ya
kal ka basi purana
phaphundi laga dard hai
hawa sard hai
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 175)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.