hawa us se kahna
havā
sub.h-dam us kī āhista āhista khultī huī aañkh se
ḳhvāb kī sīpiyāñ chunñe jaa.e to kahnā
ki ham jāgte haiñ
havā us se kahnā
ki jo hijr kī aag piitī rutoñ kī tanābeñ
ragoñ se ulajhtī huī saañs ke saath kas deñ
unheñ raat ke surma.ī haath ḳhairāt meñ niiñd kab de sake haiñ
havā us ke baazū pe likkhā huā koī ta.avīz bāñdhe to kahnā
ki āvārgī oḌh kar saañs lete musāfir
tujhe khojte khojte thak ga.e haiñ
havā us se kahnā
ki ham ne tujhe khojne kī sabhī ḳhvāhishoñ ko
udāsī kī dīvār meñ chun diyā hai
havā us se kahnā
ki vahshī darindoñ kī bastī ko jaate hue rāstoñ par
tire naqsh-e-pā dekh kar
ham ne dil meñ tire naam ke har taraf
ik siyah mātamī hāshiya bun diyā hai
havā us se kahnā
havā kuchh na kahnā
havā kuchh na kahnā
hawa
subh-dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se
KHwab ki sipiyan chunne jae to kahna
ki hum jagte hain
hawa us se kahna
ki jo hijr ki aag piti ruton ki tanaben
ragon se ulajhti hui sans ke sath kas den
unhen raat ke surmai hath KHairaat mein nind kab de sake hain
hawa us ke bazu pe likkha hua koi tawiz bandhe to kahna
ki aawargi oDh kar sans lete musafir
tujhe khojte khojte thak gae hain
hawa us se kahna
ki hum ne tujhe khojne ki sabhi KHwahishon ko
udasi ki diwar mein chun diya hai
hawa us se kahna
ki wahshi darindon ki basti ko jate hue raston par
tere naqsh-e-pa dekh kar
hum ne dil mein tere nam ke har taraf
ek siyah matami hashiya bun diya hai
hawa us se kahna
hawa kuchh na kahna
hawa kuchh na kahna
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 676)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.