hawa
bahut din se
ka.ī an-dekhe ilzāmāt ke baa.is
havā matlūb hai ham ko
havā tārīk rātoñ meñ
hamāre ḳhvāb le jaatī hai
aur vāpas nahīñ kartī
hamāre ḳhat churātī hai
hamāre dil kī bāteñ
rāh-gīroñ ko sunātī hai
hamāre giit
maidānoñ galī kūchoñ meñ gaatī hai
ham apne dil ke
zañg-ālūd ḳhānoñ meñ
mohabbat joḌ ke rakhte haiñ
lekin shaam hote hī
havā ik narm jhoñke se
ye ḳhāne khol letī hai
vahāñ jo kuchh hai le jaatī hai
aur ham se ijāzat tak nahīñ letī
mohabbat qarz hai
ye baat kahne kī
hameñ mohlat nahīñ detī
hameñ kāġhaz pe apnā naam
apne zimme vājib ḳhvāb
likhne kī suhulat tak nahīñ detī
havā par jurm ko sābit hue
muddat huī shāyad
havā mafrūr hai jab se
havā aa.ī to ham us ko
kisī andhe kueñ meñ band kar deñge
yā ik tārīk tah-ḳhāne meñ le jā kar
samundar se ziyāda be-karāñ
tanhā.ī kā pāband kar deñge
agar mumkin huā to ham havā ko
ḳhushk pattoñ kī tarah se
ḳhaak kā paivand kar deñge
bahut din se
kai an-dekhe ilzamat ke bais
hawa matlub hai hum ko
hawa tarik raaton mein
hamare KHwab le jati hai
aur wapas nahin karti
hamare KHat churaati hai
hamare dil ki baaten
rah-giron ko sunati hai
hamare git
maidanon gali kuchon mein gati hai
hum apne dil ke
zang-alud KHanon mein
mohabbat joD ke rakhte hain
lekin sham hote hi
hawa ek narm jhonke se
ye KHane khol leti hai
wahan jo kuchh hai le jati hai
aur hum se ijazat tak nahin leti
mohabbat qarz hai
ye baat kahne ki
hamein mohlat nahin deti
hamein kaghaz pe apna nam
apne zimme wajib KHwab
likhne ki suhulat tak nahin deti
hawa par jurm ko sabit hue
muddat hui shayad
hawa mafrur hai jab se
hawa aai to hum us ko
kisi andhe kuen mein band kar denge
ya ek tarik tah-KHane mein le ja kar
samundar se ziyaada be-karan
tanhai ka paband kar denge
agar mumkin hua to hum hawa ko
KHushk patton ki tarah se
KHak ka paiwand kar denge
- Book : saarii nazmen (Pg. 510)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.