hawas
būḌhe niim kī
sab se ūñchī
shāḳh pe baiThī
chiil ye shāyad soch rahī hai
kaise nādāñ
haiñ ye insāñ
ḳhud ko daanā kahte haiñ
zahr havas kā piite haiñ
baḌe baḌe mansūbe in ke
lekin umr hai chhoTī sī
merī umr hai ek sadī
ghar merā bas chaar hī tinke
in kī umr hai mujh se chhoTī
lekin puḳhta ghar haiñ in ke
buDhe nim ki
sab se unchi
shaKH pe baiThi
chil ye shayad soch rahi hai
kaise nadan
hain ye insan
KHud ko dana kahte hain
zahr hawas ka pite hain
baDe baDe mansube in ke
lekin umr hai chhoTi si
meri umr hai ek sadi
ghar mera bas chaar hi tinke
in ki umr hai mujh se chhoTi
lekin puKHta ghar hain in ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.