haweli
vaqt kī ret ke kuchh āḳhirī zarre haiñ mirī muTThī meñ
tan pe har biite hue pal ke liye ik silvaT
zehn ke goshoñ meñ yādoñ kī namī
aur dīvāroñ pe dīmak-zada lamhoñ ko liye
chaukhaToñ meñ ka.ī dhuñdle chehre
sahn-e-māzī meñ ka.ī gum-shuda nasloñ kī virāsat kā amiiñ
īstāda koī būḌhā bargad
farsh par vaqt ke paḌte hue piile patte
haañ magar ek dhaḌaktā huā dil
jo tire saath kaTe vaqt meñ zinda hai abhī
jis kī dhaḌkan se mire jism ko ḳhauf aatā hai
bilkul aise mirī bosīda havelī jaise
terī añgḌā.ī ke lamhoñ meñ laraz uThtī thī
waqt ki ret ke kuchh aaKHiri zarre hain meri muTThi mein
tan pe har bite hue pal ke liye ek silwaT
zehn ke goshon mein yaadon ki nami
aur diwaron pe dimak-zada lamhon ko liye
chaukhaTon mein kai dhundle chehre
sahn-e-mazi mein kai gum-shuda naslon ki wirasat ka amin
istada koi buDha bargad
farsh par waqt ke paDte hue pile patte
han magar ek dhaDakta hua dil
jo tere sath kaTe waqt mein zinda hai abhi
jis ki dhaDkan se mere jism ko KHauf aata hai
bilkul aise meri bosida haweli jaise
teri angDai ke lamhon mein laraz uThti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.