hawwa ki beTi ka pahla dukh
rātoñ ko
jab ham-sā.e ke ghar se
bachche ke rone kī āvāzeñ aatī haiñ
to mirī āñkheñ bhīgne lagtī haiñ
aur mere andar
ik bhūkā ehsās bhaḌakne lagtā hai
tab merī maryamiyat us ko bahlātī hai
aur mere andar kī saara
in pyāsī āshāoñ ke liye
kahīñ sāgar DhūñDne jaatī hai
mujhe apnī maañ yaad aatī hai
raaton ko
jab ham-sae ke ghar se
bachche ke rone ki aawazen aati hain
to meri aankhen bhigne lagti hain
aur mere andar
ek bhuka ehsas bhaDakne lagta hai
tab meri maryamiyat us ko bahlati hai
aur mere andar ki sara
in pyasi aashaon ke liye
kahin sagar DhunDne jati hai
mujhe apni man yaad aati hai
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.