hayat
dil hī meñ dard-e-dil rahe lab par fuġhāñ na ho
rāz-e-nihāñ kā aur koī rāz-dāñ na ho
ik jaam meñ jo jalva-e-kaun-o-makāñ na ho
zāhid murīd-e-hazrat-e-pīr-e-muġhāñ na ho
ye kyā kahā ki rāz-e-mohabbat ayaañ na ho
mumkin nahīñ ki aag lage aur dhuāñ na ho
dār-o-madār tere hī lutf-o-karam pe hai
tū meherbāñ na ho to koī meherbāñ na ho
insān vo kare jo malak bhī na kar sakeñ
fikr-e-ma.āsh 'nūr' agar darmiyāñ na ho
dil hi mein dard-e-dil rahe lab par fughan na ho
raaz-e-nihan ka aur koi raaz-dan na ho
ek jam mein jo jalwa-e-kaun-o-makan na ho
zahid murid-e-hazrat-e-pir-e-mughan na ho
ye kya kaha ki raaz-e-mohabbat ayan na ho
mumkin nahin ki aag lage aur dhuan na ho
dar-o-madar tere hi lutf-o-karam pe hai
tu meherban na ho to koi meherban na ho
insan wo kare jo malak bhi na kar saken
fikr-e-maash 'nur' agar darmiyan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.