hai jin mein zauq-e-azadi wo zindanon mein rahte hain
wahi basti basate hain jo viranon mein rahte hain
sukun maqsud hai jin ko unhen jina nahin aata
shuur-e-zindagi jin mein hai tufanon mein rahte hain
miTa kar apni hasti dars de jate hain aalam ko
shahidan-e-wafa ke zikr afsanon mein rahte hain
tabiat kis qadar aazad hai in marne walon ki
ki jin ki KHak ke zarre bayabanon mein rahte hain
hayat-e-jawidan milti hai hasti ke miTane se
masarrat un ka hissa hai jo gham-KHanon mein rahte hain
jo soz-e-ishq rakhte hain lagi rahti hai lau un ko
tajalli DhunDne wale hi parwanon mein rahte hain
jasarat zauq-e-nazzara ki paida kar nigahon mein
numud-e-husn ke anwar paimanon mein rahte hain
wo ham-mashrab wo ham-sohbat jinhen apna samajhte the
misal-e-sabza-e-begana beganon mein rahte hain
qafas ka dar bana dete hain rashk-e-bab-e-azadi
jo ahl-e-hosh hain 'takmil' zindanon mein rahte hain